Font by Mehr Nastaliq Web

butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

Dagh Dehlvi

butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

Dagh Dehlvi

butān-e-māh-vash ujḌī huī manzil meñ rahte haiñ

ki jis jaan jaatī hai usī ke dil meñ rahte haiñ

hazāroñ daaġh pinhāñ āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ

sharar patthar sūrat un āb-o-gil meñ rahte haiñ

zamīñ par paañv nafrat se nahīñ rakhte parī-paikar

ye goyā us makāñ dūsrī manzil meñ rahte haiñ

mohabbat meñ mazā hai chheḌ lekin maze ho

hazāroñ lutf har ik shikva-e-bātil meñ rahte haiñ

ḳhudā rakhe salāmat jin ko un ko maut kab aa.e

taḌapte lauTte ham kūcha-e-qātil meñ rahte haiñ

hazāroñ hasrateñ vo haiñ ki roke se nahīñ ruktīñ

bahut armān aise haiñ ki dil ke dil meñ rahte haiñ

yahāñ tak thak ga.e haiñ chalte-chalte tere hāthoñ se

ki ab chhup-chhup ke nāvik sīna-e-bismil meñ rahte haiñ

na dekhe hoñge rindoñ se bhī ne paak ai zāhid

ki ye be-dāġh mai-ḳhāne āb-o-gil meñ rahte haiñ

muhīt-e-'ishq har mauj tūfāñ-ḳhez aisī hai

vo haiñ girdāb meñ jo dāman-e-sāhil meñ rahte haiñ

ḳhudā rakhe mohabbat ko kiye ābād donoñ ghar

maiñ un ke dil meñ rahtā huuñ vo mere dil meñ rahte haiñ

jo hotī ḳhūbsūrat to na chhuptī qais se lailā

magar aise vaise parda-e-mahmil meñ rahte haiñ

surāġh-e-mehr-o-ulfat ġhair ke dil meñ na pā.eñge

'abas vo rāt-din is sa'ī-e-be-hāsil meñ rahte haiñ

butoñ ko mahram asrār ne kyuuñ kyā sāhab

ki ye kāfir har ik ḳhalvat-sarā-e-dil meñ rahte haiñ

falak dushman huā gardish-zadoñ ko jab milī rāhat

ziyāda raah se khaTke mujhe manzil meñ rahte haiñ

tan-āsānī kahāñ taqdīr meñ ham dil giraftoñ

ḳhudā par ḳhuub raushan hai ki jis mushkil meñ rahte haiñ

koī nām-o-nishāñ pūchhe to ai qāsid batā denā

taḳhallus 'dāġh' hai vo 'āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ

butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain

ki jis ki jaan jati hai usi ke dil mein rahte hain

hazaron dagh pinhan aashiqon ke dil mein rahte hain

sharar patthar ki surat un ki aab-o-gil mein rahte hain

zamin par panw nafrat se nahin rakhte pari-paikar

ye goya us makan ki dusri manzil mein rahte hain

mohabbat mein maza hai chheD ka lekin maze ki ho

hazaron lutf har ek shikwa-e-baatil mein rahte hain

KHuda rakhe salamat jin ko un ko maut kab aae

taDapte lauTte hum kucha-e-qatil mein rahte hain

hazaron hasraten wo hain ki roke se nahin ruktin

bahut arman aise hain ki dil ke dil mein rahte hain

yahan tak thak gae hain chalte-chalte tere hathon se

ki ab chhup-chhup ke nawik sina-e-bismil mein rahte hain

na dekhe honge rindon se bhi tu ne pak ai zahid

ki ye be-dagh mai-KHane ki aab-o-gil mein rahte hain

muhit-e-'ishq ki har mauj tufan-KHez aisi hai

wo hain girdab mein jo daman-e-sahil mein rahte hain

KHuda rakhe mohabbat ko kiye aabaad donon ghar

main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain

jo hoti KHubsurat to na chhupti qais se laila

magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain

suragh-e-mehr-o-ulfat ghair ke dil mein na paenge

'abas wo raat-din is sa'i-e-be-hasil mein rahte hain

buton ko mahram asrar tu ne kyun kya sahab

ki ye kafir har ek KHalwat-sara-e-dil mein rahte hain

falak dushman hua gardish-zadon ko jab mili rahat

ziyaada rah se khaTke mujhe manzil mein rahte hain

tan-asani kahan taqdir mein hum dil girafton ki

KHuda par KHub raushan hai ki jis mushkil mein rahte hain

koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena

taKHallus 'dagh' hai wo 'ashiqon ke dil mein rahte hain

Source :
  • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 23)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now