chand chhup jaega tare so jaenge chandni raat ka husn Dhal jaega
Interesting Fact
اسمعٰیل آزاد قوال نے اسے اپنی آواز دی ہے۔
chāñd chhup jā.egā taare so jā.eñge chāñdnī raat kā husn Dhal jā.egā
jab tak aaoge tum sub.h ho jā.egī hasratoñ kā merī dam nikal jā.egā
apne ruḳh se na sarkāo āñchal ko tum maan jaao ye dil hai machal jā.egā
hosh uḌ jā.eñge 'aql kho jā.egī barq gir jā.egī tuur jal jā.egā
sāmne husn be-iḳhtiyār aa gayā be-qarārī ko merī qarār aa gayā
maiñ to samjhā thā taskīn ho jā.egī kyā ḳhabar thī ye aur machal jā.egā
ho mere dil ke tum nā ḳhudā.e sanam hai tumhīñ se merī zindagī kā bhram
laaj rakh lenā ulfat kī tum ko qasam tum jo badle zamāna badal jā.egā
jāñ-kanī kā hai 'ālam bapā sar-ba-sar haiñ pareshāñ bālīñ pe sab chāra-gar
pyaar se rakh lo tum apne zānūñ pe sar maut aa jā.egī dam nikal jā.egā
husn kā jalva āñkhoñ meñ chhup jā.egā TuuT jā.egā jaadū bharā ye samāñ
le lo be-ḳhud hī rahne de ai sāqiyā hosh aayā to naqsha badal jā.egā
jazba-e-'ishq uTh zulm par zulm Dhaao bhī kar apnī rasm-e-mohabbat adā
maiñ maqsad ko apne pahuñch jā.ūñgā un ke dil kā bhī armān nikal jā.egā
chand chhup jaega tare so jaenge chandni raat ka husn Dhal jaega
jab tak aaoge tum subh ho jaegi hasraton ka meri dam nikal jaega
apne ruKH se na sarkao aanchal ko tum man jao ye dil hai machal jaega
hosh uD jaenge 'aql kho jaegi barq gir jaegi tur jal jaega
samne husn be-iKHtiyar aa gaya be-qarari ko meri qarar aa gaya
main to samjha tha taskin ho jaegi kya KHabar thi ye aur machal jaega
ho mere dil ke tum na KHudae sanam hai tumhin se meri zindagi ka bhram
laj rakh lena ulfat ki tum ko qasam tum jo badle zamana badal jaega
jaan-kani ka hai 'alam bapa sar-ba-sar hain pareshan baalin pe sab chaara-gar
pyar se rakh lo tum apne zanun pe sar maut aa jaegi dam nikal jaega
husn ka jalwa aankhon mein chhup jaega TuT jaega jadu bhara ye saman
le lo be-KHud hi rahne de ai saqiya hosh aaya to naqsha badal jaega
jazba-e-'ishq uTh zulm par zulm Dhao bhi kar apni rasm-e-mohabbat ada
main maqsad ko apne pahunch jaunga un ke dil ka bhi arman nikal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.