chaar tinkon ka sahaara kuchh nahin
chaar tinkoñ kā sahārā kuchh nahīñ
sahn-e-gulshan meñ hamārā kuchh nahīñ
chain luuTā dil mirā vīrāñ kiyā
bas bigāḌā hai sañvārā kuchh nahīñ
jaan dene ke liye hāzir haiñ ham
'āshiqī meñ ye ḳhasārā kuchh nahīñ
bevafā.ī bhī tirā ehsān hai
is se baḌh kar haq hamārā kuchh nahīñ
justujū īmāñ tan-āsānī gunāh
mauj sab kuchh hai kinārā kuchh nahīñ
ham se dil le kar ye zālim ne kahā
jaao rasta lo tumhārā kuchh nahīñ
ik nigāh-e-lutf ham par bhī kabhī
'arz hai apnī ijārā kuchh nahīñ
saare 'ālam meñ vahī vo haiñ 'nasīr'
sab kuchh un kā hai hamārā kuchh nahīñ
chaar tinkon ka sahaara kuchh nahin
sahn-e-gulshan mein hamara kuchh nahin
chain luTa dil mera viran kiya
bas bigaDa hai sanwara kuchh nahin
jaan dene ke liye hazir hain hum
'ashiqi mein ye KHasara kuchh nahin
bewafai bhi tera ehsan hai
is se baDh kar haq hamara kuchh nahin
justuju iman tan-asani gunah
mauj sab kuchh hai kinara kuchh nahin
hum se dil le kar ye zalim ne kaha
jao rasta lo tumhaara kuchh nahin
ek nigah-e-lutf hum par bhi kabhi
'arz hai apni ijara kuchh nahin
sare 'alam mein wahi wo hain 'nasir'
sab kuchh un ka hai hamara kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.