haye dekha hi nahin musa ne aalam nur ka
haye dekha hi nahin musa ne aalam nur ka
Chandar Bhan Kaifi Dehlvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehlvi
haaye dekhā hī nahīñ muusā ne 'ālam nuur kā
varna har kohsār se paidā hai jalva tuur kā
aa rahī hai qulqul-e-mīnā se haq haq kī sadā
duur hai ab mai-kade meñ बादा-ए-मंसूर kā
tīra-baḳhtī le ke aa.ī hai ba-sad ijz-o-niyāz
ka.aba-e-dil ke liye mahmil shab-e-daijūr kā
kar rahī hai har nazar apnā nazāra aap hī
farq kahne ke liye hai nāzir-o-manzūr kā
chashm-e-mast-e-nāz kī 'kaifī' shikāyat hai 'abas
laḌkhaḌātā hai qadam har maikash-e-makHmūr kā
haye dekha hi nahin musa ne 'alam nur ka
warna har kohsar se paida hai jalwa tur ka
aa rahi hai qulqul-e-mina se haq haq ki sada
dur hai ab mai-kade mein बादा-ए-मंसूर ka
tira-baKHti le ke aai hai ba-sad ijz-o-niyaz
kaba-e-dil ke liye mahmil shab-e-daijur ka
kar rahi hai har nazar apna nazara aap hi
farq kahne ke liye hai nazir-o-manzur ka
chashm-e-mast-e-naz ki 'kaifi' shikayat hai 'abas
laDkhaData hai qadam har maikash-e-makHmur ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.