ai ishtiyaq-e-did agar dil mein tu rahe
ai ishtiyaq-e-did agar dil mein tu rahe
Chandar Bhan Kaifi Dehlvi
MORE BYChandar Bhan Kaifi Dehlvi
ai ishtiyāq-e-dīd agar dil meñ tū rahe
tasvīr-e-husn-e-yār mere rū-ba-rū rahe
fitrat kī sādgī kā unhīñ meñ zuhūr thā
jo phuul is bahār meñ be-rañg-o-bū rahe
huuñ aab aab maiñ ’araq-e-infi’āl se
phir kis tarah namāz mirī be-vuzū rahe
aañsū hamārī aañkh ke dāman meñ lījiye
kyā aabrū guhar kī jo be-ābrū rahe
phir bāda-e-alast se aisī ho be-ḳhudī
'kaifī' na maiñ rahūñ na merī aarzū rahe
ai ishtiyaq-e-did agar dil mein tu rahe
taswir-e-husn-e-yar mere ru-ba-ru rahe
fitrat ki sadgi ka unhin mein zuhur tha
jo phul is bahaar mein be-rang-o-bu rahe
hun aab aab main ’araq-e-infi’al se
phir kis tarah namaz meri be-wuzu rahe
aansu hamari aankh ke daman mein lijiye
kya aabru guhar ki jo be-abru rahe
phir baada-e-alast se aisi ho be-KHudi
'kaifi' na main rahun na meri aarzu rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.