chashm mein KHalq ki go misl-e-habab aata hun
chashm mein KHalq ki go misl-e-habab aata hun
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
chashm meñ ḳhalq kī go misl-e-habāb aatā huuñ
ain-e-dariyā huuñ haqīqat meñ bahā jaatā huuñ
ma.anī-e-nuqta anal-haq ko na pūchho mujh se
DhūñDhtā huuñ use jab āñkhoñ meñ pā jaatā huuñ
kaif-o-kam mere haiñ juuñ mauj-e-habāb-o-dariyā
mujh se uThte haiñ aur maiñ hī unheñ khā jaatā huuñ
chashm-e-zāhir ko agar band kare to dekhe
rañg-birañge ko maiñ har rañg meñ dikhlātā huuñ
sham.a ke taur jalātā huuñ jigar ātish maiñ
suḳhan-e-ishq zabāñ apnī pe jab laatā huuñ
chashm mein KHalq ki go misl-e-habab aata hun
ain-e-dariya hun haqiqat mein baha jata hun
mani-e-nuqta anal-haq ko na puchho mujh se
DhunDhta hun use jab aankhon mein pa jata hun
kaif-o-kam mere hain jun mauj-e-habab-o-dariya
mujh se uThte hain aur main hi unhen kha jata hun
chashm-e-zahir ko agar band kare to dekhe
rang-birange ko main har rang mein dikhlata hun
shama ke taur jalata hun jigar aatish main
suKHan-e-ishq zaban apni pe jab lata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.