chupke chupke raat-din aansu bahana yaad hai
chupke chupke rāt-din aañsū bahānā yaad hai
ham ko ab tak āshiqī kā vo zamāna yaad hai
bā-hazārāñ iztirāb-o-sad-hazārāñ ishtiyāq
tujh se vo pahle-pahal dil kā lagānā yaad hai
baar baar uThnā usī jānib nigāh-e-shauq kā
aur tirā ġhurfe se vo āñkheñ laḌānā yaad hai
tujh se kuchh milte hī vo bebāk ho jaanā mirā
aur tirā dāñtoñ meñ vo añgulī dabānā yaad hai
khīñch lenā vo tirā parde kā konā daf.atan
aur dupaTTe se tirā vo muñh chhupānā yaad hai
jaan kar sotā tujhe vo qasd-e-pā-bosī mirā
aur tirā Thukrā ke sar vo muskurānā yaad hai
tujh ko jab tanhā kabhī paatā to az rāh-e-lihāz
hāl-e-dil bātoñ hī bātoñ meñ jatānā yaad hai
jab sivā mere tumhārā koī dīvāna na thā
sach kaho kuchh tum ko bhī vo kārḳhāna yaad hai
ġhair kī nazroñ se bach kar sab kī marzī ke ḳhilāf
vo tirā chorī-chhupe rātoñ ko aanā yaad hai
aa gayā gar vasl kī shab bhī kahīñ zikr-e-firāq
vo tirā ro ro ke mujh ko bhī rulānā yaad hai
dopahar kī dhuup meñ mere bulāne ke liye
vo tirā koThe pe nañge paañv aanā yaad hai
aaj tak nazroñ meñ hai vo sohbat-e-rāz-o-niyāz
apnā jaanā yaad hai terā bulānā yaad hai
mīThī mīThī chheḌ kar bāteñ nirālī pyaar kī
zikr dushman kā vo bātoñ meñ uḌānā yaad hai
dekhnā mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se
jab manā lenā to phir ḳhud ruuTh jaanā yaad hai
chorī chorī ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddateñ guzrīñ par ab tak vo Thikānā yaad hai
shauq meñ mehñdī ke vo be-dast-o-pā honā tirā
aur mirā vo chheḌnā vo gudgudānā yaad hai
bāvajūd-e-iddi.ā-e-ittiqā 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-havas kā vo fasānā yaad hai
chupke chupke raat-din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab-o-sad-hazaran ishtiyaq
tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
bar bar uThna usi jaanib nigah-e-shauq ka
aur tera ghurfe se wo aankhen laDana yaad hai
tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera
aur tera danton mein wo anguli dabana yaad hai
khinch lena wo tera parde ka kona dafatan
aur dupaTTe se tera wo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera
aur tera Thukra ke sar wo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi pata to az rah-e-lihaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai
jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi wo karKHana yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai
aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
miThi miThi chheD kar baaten nirali pyar ki
zikr dushman ka wo baaton mein uDana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se
jab mana lena to phir KHud ruTh jaana yaad hai
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai
shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera
aur mera wo chheDna wo gudgudana yaad hai
bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 194)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.