daim paḌā huā tere dar par nahīñ huñ maiñ
daa.im paḌā huā tire dar par nahīñ huuñ maiñ
ḳhaak aisī zindagī pe ki patthar nahīñ huuñ maiñ
kyuuñ gardish-e-mudām se ghabrā na jaa.e dil
insān huuñ piyāla o sāġhar nahīñ huuñ maiñ
yā-rab zamāna mujh ko miTātā hai kis liye
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar nahīñ huuñ maiñ
had chāhiye sazā meñ uqūbat ke vāste
āḳhir gunāhgār huuñ kāfar nahīñ huuñ maiñ
kis vāste aziiz nahīñ jānte mujhe
la.al o zamurrad o zar o gauhar nahīñ huuñ maiñ
rakhte ho tum qadam mirī āñkhoñ se kyuuñ dareġh
rutbe meñ mahr-o-māh se kam-tar nahīñ huuñ maiñ
karte ho mujh ko man.a-e-qadam-bos kis liye
kyā āsmān ke bhī barābar nahīñ huuñ maiñ
'ġhālib' vazīfa-ḳhvār ho do shaah ko duā
vo din ga.e ki kahte the naukar nahīñ huuñ maiñ
daim paḌā huā tere dar par nahīñ huñ maiñ
ḳhak aisī zindagī pe ki patthar nahīñ huñ maiñ
kyuñ gardish-e-mudām se ghabrā na jae dil
insān huñ piyāla o sāġhar nahīñ huñ maiñ
yā-rab zamāna mujh ko miTātā hai kis liye
lauh-e-jahāñ pe harf-e-mukarrar nahīñ huñ maiñ
had chāhiye sazā meñ uqūbat ke wāste
āḳhir gunāhgār huñ kāfar nahīñ huñ maiñ
kis wāste aziz nahīñ jānte mujhe
lal o zamurrad o zar o gauhar nahīñ huñ maiñ
rakhte ho tum qadam mirī āñkhoñ se kyuñ dareġh
rutbe meñ mahr-o-māh se kam-tar nahīñ huñ maiñ
karte ho mujh ko mana-e-qadam-bos kis liye
kyā āsmān ke bhī barābar nahīñ huñ maiñ
'ġhālib' wazīfa-ḳhwār ho do shah ko duā
wo din gae ki kahte the naukar nahīñ huñ maiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.