jalwa dekha teri ranai ka
jalva dekhā tirī ra.anā.ī kā
kyā kalejā hai tamāshā.ī kā
rah gayā arsh se aage jā kar
haaye a.alam mirī tanhā.ī kā
yuuñ na ho barq-e-tajallī betāb
mil gayā rañg tamāshā.ī kā
yaad aatā hai vo rusvā kar ke
rañj karnā mirī rusvā.ī kā
aatī shoḳh meñ kahāñ se tamkīn
paḌ gayā sabr tamannā.ī kā
ai lab-e-yār jilā de dil meñ
vāsta apne masīhā.ī kā
roz dīdār ḳhudā ḳhair kare
ma.arka hai tirī zebā.ī kā
ab tasavvur se bhī ghabrātā huuñ
kyā maza hai mujhe tanhā.ī kā
muñh se bole to kahā ā.īna
khel khele to ḳhud-ārā.ī kā
un kī shohrat bhī miTī jaatī hai
kyā Thikānā mirī rusvā.ī kā
kyā tasavvur bhī na aane degī
muñh to dekho shab-e-tanhā.ī kā
'dāġh' kī qabr miTā kar bole
ye nishān thā isī saudā.ī kā
jalwa dekha teri ranai ka
kya kaleja hai tamashai ka
rah gaya arsh se aage ja kar
haye aalam meri tanhai ka
yun na ho barq-e-tajalli betab
mil gaya rang tamashai ka
yaad aata hai wo ruswa kar ke
ranj karna meri ruswai ka
aati shoKH mein kahan se tamkin
paD gaya sabr tamannai ka
ai lab-e-yar jila de dil mein
wasta apne masihai ka
roz didar KHuda KHair kare
marka hai teri zebai ka
ab tasawwur se bhi ghabraata hun
kya maza hai mujhe tanhai ka
munh se bole to kaha aaina
khel khele to KHud-arai ka
un ki shohrat bhi miTi jati hai
kya Thikana meri ruswai ka
kya tasawwur bhi na aane degi
munh to dekho shab-e-tanhai ka
'dagh' ki qabr miTa kar bole
ye nishan tha isi saudai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.