taDapta lauTta uDta jo be-tabana aata hai
taḌaptā lauTtā uḌtā jo be-tābāna aatā hai
ye murġh-e-nāma-bar aatā hai yā parvāna aatā hai
ruḳh-e-raushan ke aage sham.a rakh kar vo ye kahte haiñ
udhar jaatā hai dekheñ yā idhar parvāna aatā hai
daġhā shoḳhī sharārat be-hayā.ī fitna-pardāzī
tujhe kuchh aur bhī ai nargis-e-mastāna aatā hai
vo nāzuk haiñ to kyā apne se ḳhanjar phir nahīñ saktā
tujhe kuchh nañg bhī ai himmat-e-mardāna aatā hai
vahī jhagḌā hai furqat kā vahī qissa hai ulfat kā
tujhe ai 'dāġh' koī aur bhī afsāna aatā hai
taDapta lauTta uDta jo be-tabana aata hai
ye murgh-e-nama-bar aata hai ya parwana aata hai
ruKH-e-raushan ke aage shama rakh kar wo ye kahte hain
udhar jata hai dekhen ya idhar parwana aata hai
dagha shoKHi shararat be-hayai fitna-pardazi
tujhe kuchh aur bhi ai nargis-e-mastana aata hai
wo nazuk hain to kya apne se KHanjar phir nahin sakta
tujhe kuchh nang bhi ai himmat-e-mardana aata hai
wahi jhagDa hai furqat ka wahi qissa hai ulfat ka
tujhe ai 'dagh' koi aur bhi afsana aata hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 23)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.