qiyamat hain banki adaen tumhaari
qiyāmat haiñ bāñkī adā.eñ tumhārī
idhar aao le luuñ balā.eñ tumhārī
jo pūchhā kabhī shaġhl-e-tanhā.ī un se
kahā ginte haiñ ham ḳhatā.eñ tumhārī
zamāne meñ haiñ yādgār-e-zamāna
vafā.eñ hamārī jafā.eñ tumhārī
hameñ doge in’ām kyā roz-e-mahshar
jo ham baat bigḌī banā.eñ tumhārī
hamīñ pe tumhār hai sam āb-o-dāna
qasam bhī jo khā.eñ to khā.eñ tumhārī
karo sadqe ġhairoñ ko sar par se apne
baḌe lene vaale balā.eñ tumhārī
uThā.e haiñ sadme bahut 'dāġh' tum ne
ilāhī bar aa.eñ murādeñ tumhārī
qiyamat hain banki adaen tumhaari
idhar aao le lun balaen tumhaari
jo puchha kabhi shaghl-e-tanhai un se
kaha ginte hain hum KHataen tumhaari
zamane mein hain yaadgar-e-zamana
wafaen hamari jafaen tumhaari
hamein doge in’am kya roz-e-mahshar
jo hum baat bigDi banaen tumhaari
hamin pe tumhaar hai sam aab-o-dana
qasam bhi jo khaen to khaen tumhaari
karo sadqe ghairon ko sar par se apne
baDe lene wale balaen tumhaari
uThae hain sadme bahut 'dagh' tum ne
ilahi bar aaen muraden tumhaari
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.