ilahi kya karen zabt-e-mohabbat hum to marte hain
ilāhī kyā kareñ zabt-e-mohabbat ham to marte haiñ
ye naale tiir ban-ban kar kaleje meñ utarte haiñ
jafā par jaan dete haiñ sitam par terī marte haiñ
ye nā-kām-e-mohabbat sach to ye hai kaam karte haiñ
pai-tā'zīm uThtī hai qiyāmat kū-e-jānāñ meñ
ajal kahtī hai bismillāh jahāñ vo paañv dharte haiñ
baḌhāyā dil hai us kā is tarah kah kar dam-e-bismil
lagā chak teġh ai qātil kahīñ qātil se Darte haiñ
tumhārī bad-mizājī se hameñ kyuuñ kar na ḳhauf aa.e
misl mash.hūr hai sāheb bure se sab hī Darte haiñ
ilahi kya karen zabt-e-mohabbat hum to marte hain
ye nale tir ban-ban kar kaleje mein utarte hain
jafa par jaan dete hain sitam par teri marte hain
ye na-kaam-e-mohabbat sach to ye hai kaam karte hain
pai-ta'zim uThti hai qiyamat ku-e-jaanan mein
ajal kahti hai bismillah jahan wo panw dharte hain
baDhaya dil hai us ka is tarah kah kar dam-e-bismil
laga chak tegh ai qatil kahin qatil se Darte hain
tumhaari bad-mizaji se hamein kyun kar na KHauf aae
misl mashhur hai saheb bure se sab hi Darte hain
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.