koi jaane to kya jaane wo dikhta hai hazaron mein
koī jaane to kyā jaane vo dikhtā hai hazāroñ meñ
sitam-gāroñ meñ ayāroñ meñ dil-dāroñ meñ yāroñ meñ
koī ġhuncha-dahan hañs kar hameñ ab kyā hañsāye.gā
bahāreñ ham ne luuTī haiñ bahut aglī bahāroñ meñ
dikhāoge saf-e-mehshar meñ ham kitne nikalte haiñ
jo pūchhā us ne hai koī mire ummīdvāroñ meñ
ajal kā naam leñ taqdīr ko ro.eñ mujhe koseñ
mire qātil kā charchā kyuuñ hai mere sogvāroñ meñ
jalānā 'dāġh' kā achchhā nahīñ ye dam ġhanīmat hai
ki aisā bā-vafā ik aah niklegā hazāroñ meñ
koi jaane to kya jaane wo dikhta hai hazaron mein
sitam-garon mein ayaron mein dil-daron mein yaron mein
koi ghuncha-dahan hans kar hamein ab kya hansayega
bahaaren hum ne luTi hain bahut agli bahaaron mein
dikhaoge saf-e-mehshar mein hum kitne nikalte hain
jo puchha us ne hai koi mere ummidwaron mein
ajal ka nam len taqdir ko roen mujhe kosen
mere qatil ka charcha kyun hai mere sogwaron mein
jalana 'dagh' ka achchha nahin ye dam ghanimat hai
ki aisa ba-wafa ek aah niklega hazaron mein
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.