fatiha gor pe paDhne ko na aae koi
fātiha gor pe paḌhne ko na aa.e koī
so rahī hai mirī hasrat na jagā.e koī
ye jo hai hukm mire paas na aa.e koī
is liye ruuTh rahe haiñ ki manā.e koī
sūrat-e-ashk nazar se jo girā.e koī
ḳhaak se uTh na sakūñ laakh uThā.e koī
rahte haiñ aap to ai jaan dil-e-shaidā meñ
ka.aba-o-dair meñ kyuuñ DhūñDhne jaa.e koī
ho chukā 'aish kā jalsa to mujhe ḳhat bhejā
aap kī tarah se mehmān na bulā.e koī
haaye kis naaz se kahtā hai shab-e-vasl sanam
dekh lo bhaal lo aisā na ho aa.e koī
vo umañgoñ pe jo aa.e to sharārat ne kahā
naujavāñ haiñ unheñ parde meñ biThā.e koī
zāhido ḳhaak meñ sab zohd tumhārā mil jaa.e
chāñd-sī shakl agar tum ko dikhā.e koī
zer-e-bām is liye har roz khaḌā rahtā huuñ
aarzū hai ki ishāroñ se bulā.e koī
vo shab-e-vasl 'ajab naaz se farmāte haiñ
haath TūTeñ jo hameñ haath lagā.e koī
uThte joban ne ubhar kar ye kahā mahram se
ab nahīñ chhupne ke ham laakh chhupā.e koī
aap ne 'dāġh' ko muñh bhī na lagāyā afsos
us ko rakhtā thā kaleje se lagā.e koī
fatiha gor pe paDhne ko na aae koi
so rahi hai meri hasrat na jagae koi
ye jo hai hukm mere pas na aae koi
is liye ruTh rahe hain ki manae koi
surat-e-ashk nazar se jo girae koi
KHak se uTh na sakun lakh uThae koi
rahte hain aap to ai jaan dil-e-shaida mein
kaba-o-dair mein kyun DhunDhne jae koi
ho chuka 'aish ka jalsa to mujhe KHat bheja
aap ki tarah se mehman na bulae koi
haye kis naz se kahta hai shab-e-wasl sanam
dekh lo bhaal lo aisa na ho aae koi
wo umangon pe jo aae to shararat ne kaha
naujawan hain unhen parde mein biThae koi
zahido KHak mein sab zohd tumhaara mil jae
chand-si shakl agar tum ko dikhae koi
zer-e-baam is liye har roz khaDa rahta hun
aarzu hai ki ishaaron se bulae koi
wo shab-e-wasl 'ajab naz se farmate hain
hath TuTen jo hamein hath lagae koi
uThte joban ne ubhar kar ye kaha mahram se
ab nahin chhupne ke hum lakh chhupae koi
aap ne 'dagh' ko munh bhi na lagaya afsos
us ko rakhta tha kaleje se lagae koi
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.