uzr aane mein bhi hai pas bulate bhi nahin
'uzr aane meñ bhī hai paas bulāte bhī nahīñ
bā'is-e-tark-e-mulāqāt batāte bhī nahīñ
mujh se lāġhar tirī nazroñ meñ khaTakte hī rahe
tujh se nāzuk mirī āñkhoñ meñ samāte bhī nahīñ
kHuub parda hai ki chilman se lage baiThe haiñ
saaf chhupte bhī nahīñ sāmne aate bhī nahīñ
ho chukā qat-e’-ta’alluq to jafā.eñ kyuuñ haiñ
jis se matlab nahīñ rahtā hai satāte bhī nahīñ
dekhte hī mujhe mahfil meñ ye irshād huā
kaun baiThā hai use log uThāte bhī nahīñ
muntazir haiñ dam-e-ruḳhsat ki ye mar jaaye to jaa.eñ
phir ye ehsān ki ham chhoḌ ke jaate bhī nahīñ
kam-sinī kā ye taqāzā ki janāze pe mire
paas aate bhī nahīñ haath lagāte bhī nahīñ
ziist se tañg ho ai 'dāġh' to jiite kyuuñ ho
jaan pyārī bhī nahīñ jaan se jaate bhī nahīñ
'uzr aane mein bhi hai pas bulate bhi nahin
ba'is-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin
mujh se laghar teri nazron mein khaTakte hi rahe
tujh se nazuk meri aankhon mein samate bhi nahin
kHub parda hai ki chilman se lage baiThe hain
saf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin
ho chuka qat-e’-ta’alluq to jafaen kyun hain
jis se matlab nahin rahta hai satate bhi nahin
dekhte hi mujhe mahfil mein ye irshad hua
kaun baiTha hai use log uThate bhi nahin
muntazir hain dam-e-ruKHsat ki ye mar jaye to jaen
phir ye ehsan ki hum chhoD ke jate bhi nahin
kam-sini ka ye taqaza ki janaze pe mere
pas aate bhi nahin hath lagate bhi nahin
zist se tang ho ai 'dagh' to jite kyun ho
jaan pyari bhi nahin jaan se jate bhi nahin
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.