mujh sa na de zamana ko parwardigar dil
mujh sā na de zamāna ko parvardigār dil
āshufta-dil farefta-dil be-qarār dil
pūchhā jo mujh se tālib-e-roz-e-jazā hai kaun
niklā mirī zabān se be-iḳhtiyār dil
tāsīr-e-'ishq ye hai tire ’ahd-e-husn meñ
miTTī kā bhī banā.ūñ to ho be-qarār dil
pahle-pahal kī chaah kā kījai na imtihāñ
aanā to siikh le abhī do-chār baar dil
be-tāb ho ke bazm se us ke uThā diyā
ġhāfil huuñ maiñ magar hai bahut hoshiyār dil
mash.hūr haiñ sikandar-o-jam kī nishāniyāñ
ai 'dāġh' chhoḌ jā.eñge ham yādgār dil
mujh sa na de zamana ko parwardigar dil
aashufta-dil farefta-dil be-qarar dil
puchha jo mujh se talib-e-roz-e-jaza hai kaun
nikla meri zaban se be-iKHtiyar dil
tasir-e-'ishq ye hai tere ’ahd-e-husn mein
miTTi ka bhi banaun to ho be-qarar dil
pahle-pahal ki chah ka kijai na imtihan
aana to sikh le abhi do-chaar bar dil
be-tab ho ke bazm se us ke uTha diya
ghafil hun main magar hai bahut hoshiyar dil
mashhur hain sikandar-o-jam ki nishaniyan
ai 'dagh' chhoD jaenge hum yaadgar dil
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 3)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.