ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
'ajab apnā haal hotā jo visāl-e-yār hotā
kabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā
koī fitna tā-qiyāmat na phir āshkār hotā
tire dil pe kaash zālim mujhe iḳhtiyār hotā
jo tumhārī tarah tum se koī jhūTā va.ada karatā
tumhīñ munsifī se kah do tumheñ e'tibār hotā
ye mazā thā dil lagī kā ki barābar aag lagtī
na tujhe qarār hotā na mujhe qarār hotā
ye dard-e-dil nahīñ hai ki ho chāra-sāz koī
agar ek baar miTtā to hazār baar hotā
tire va.ada par sitam-gar abhī aur sabr karte
agar apnī zindagī kā hameñ e'tibār hotā
ġham-e-ishq meñ mazā thā jo use samajh ke khāte
ye vo zahar hai ki āḳhir mai-e-ḳhush-gavār hotā
ga.e hosh tere zāhid jo vo chashm-e-mast dekhī
mujhe kyā ulaT na dete jo na bāda-ḳhvār hotā
tumheñ naaz ho na kyuuñ kar ki liyā hai 'dāġh' kā dil
ye raqam na haath lagtī na ye iftiḳhār hotā
'ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ta-qiyamat na phir aashkar hota
tere dil pe kash zalim mujhe iKHtiyar hota
jo tumhaari tarah tum se koi jhuTa wada karata
tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota
ye maza tha dil lagi ka ki barabar aag lagti
na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota
ye dard-e-dil nahin hai ki ho chaara-saz koi
agar ek bar miTta to hazar bar hota
tere wada par sitam-gar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamein e'tibar hota
gham-e-ishq mein maza tha jo use samajh ke khate
ye wo zahar hai ki aaKHir mai-e-KHush-gawar hota
gae hosh tere zahid jo wo chashm-e-mast dekhi
mujhe kya ulaT na dete jo na baada-KHwar hota
tumhein naz ho na kyun kar ki liya hai 'dagh' ka dil
ye raqam na hath lagti na ye iftiKHar hota
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.