dost kyun ishq mein karte hain shikayat meri
dost kyuuñ 'ishq meñ karte haiñ shikāyat merī
mujh pe kyā zor kisī kā hai tabī.at merī
dhuum hai zer-e-zamīñ kushta-e-nāz aayā hai
ho ga.ī ii.d shahīdoñ ko ziyārat merī
sar se pahle vo zabāñ kaaT liyā karte haiñ
ki ḳhudā se na kare koī shikāyat merī
nā-tavāñ dekh ke afsos na aayā mujh par
vo ḳhafā haiñ ki uḌaa.ī hai nazākat merī
kyā judā.ī kā asar hai ki shab-e-tanhā.ī
merī tasvīr se miltī nahīñ sūrat merī
jis tarah tū merī āġhosh se niklā ai shoḳh
yūñhī hāthoñ se nikaltī hai tabī'at merī
be-hayā hote haiñ mehmān kahīñ aise bhī
ki nikāle se nikaltī nahīñ hasrat merī
apnī tasvīr pe nāzāñ ho tumhārā kyā hai
aañkh nargis kī dahan ġhuncha kā hasrat merī
kahīñ duniyā meñ Thikānā nahīñ us kā ai 'dāġh'
chhoḌ kar mujh ko kahāñ jaa.e musībat merī
dost kyun 'ishq mein karte hain shikayat meri
mujh pe kya zor kisi ka hai tabiat meri
dhum hai zer-e-zamin kushta-e-naz aaya hai
ho gai id shahidon ko ziyarat meri
sar se pahle wo zaban kaT liya karte hain
ki KHuda se na kare koi shikayat meri
na-tawan dekh ke afsos na aaya mujh par
wo KHafa hain ki uDai hai nazakat meri
kya judai ka asar hai ki shab-e-tanhai
meri taswir se milti nahin surat meri
jis tarah tu meri aaghosh se nikla ai shoKH
yunhi hathon se nikalti hai tabi'at meri
be-haya hote hain mehman kahin aise bhi
ki nikale se nikalti nahin hasrat meri
apni taswir pe nazan ho tumhaara kya hai
aankh nargis ki dahan ghuncha ka hasrat meri
kahin duniya mein Thikana nahin us ka ai 'dagh'
chhoD kar mujh ko kahan jae musibat meri
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.