is bazm mein sharik to jaya na jaega
is bazm meñ sharīk to jaayā na jā.egā
maiñ jā.ūñgā agar mirā saayā na jā.egā
dil le ke us kī bazm meñ jaayā na jā.egā
ye mudda.ī baġhal meñ chhupāyā na jā.egā
ai hashr imtiyāz ki ham haiñ shahīd-e-nāz
murdoñ kī tarah ham ko uThāyā na jā.egā
dil kyā milāoge ki hameñ ho gayā yaqīn
tum se to ḳhaak meñ bhī milāyā na jā.egā
jo dil dikhā rahā hai maza har ghaḌī mujhe
āñkhoñ se sau baras bhī dikhāyā na jā.egā
dushman ke aage sar na jhukegā kisī tarah
ye āsmān zamīn se milāyā na jā.egā
fitna nahīñ huuñ jis ko uThāyā kare falak
mujh se gire hue ko uThāyā na jā.egā
zulfeñ nahīñ ki shāne se ārāsta kiyā
bigḌā huā mizāj banāyā na jā.egā
ai 'dāġh' tujh ko rizq kī ḳhvāhish hai charḳh se
utnā ye ġham khilā.egā khāyā na jā.egā
is bazm mein sharik to jaya na jaega
main jaunga agar mera saya na jaega
dil le ke us ki bazm mein jaya na jaega
ye muddai baghal mein chhupaya na jaega
ai hashr imtiyaz ki hum hain shahid-e-naz
murdon ki tarah hum ko uThaya na jaega
dil kya milaoge ki hamein ho gaya yaqin
tum se to KHak mein bhi milaya na jaega
jo dil dikha raha hai maza har ghaDi mujhe
aankhon se sau baras bhi dikhaya na jaega
dushman ke aage sar na jhukega kisi tarah
ye aasman zamin se milaya na jaega
fitna nahin hun jis ko uThaya kare falak
mujh se gire hue ko uThaya na jaega
zulfen nahin ki shane se aarasta kiya
bigDa hua mizaj banaya na jaega
ai 'dagh' tujh ko rizq ki KHwahish hai charKH se
utna ye gham khilaega khaya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.