wo mast-e-naz har su jalwa dikha raha hai
Interesting Fact
راگنی ضلع۔ وقت ۲؍ بجے دن تال اکتالہ۔
vo mast-e-nāz har sū jalva dikhā rahā hai
āñkhoñ meñ chhā rahā hai dil meñ samā rahā hai
lutf-e-sharāb-e-ulfat mahfil meñ aa rahā hai
āñkheñ milā ke koī be-ḳhud banā rahā hai
tham-tham ke dard uThe ruk-ruk ke har ḳhalish meñ
rah-rah ke dil meñ koī nashtar lagā rahā hai
ye kyā ḳhabar thī yā-rab vahshat baḌhegī phir ab
dīvāna-vār koī mujh ko phirā rahā hai
bahr-e-fanā meñ apnā ye saañs jazr-o-mad hai
tūfān-e-'ishq-e-jānāñ lahreñ dikhā rahā hai
us kī nazar kī bijlī sar-e-tūr aa ke chamkī
chashm-e-sanam kā surma jaadū jagā rahā hai
hastī ke ham chaman meñ haiñ chashm-e-misl-e-nargis
'dāġh'-e-firāq-e-mah-vash kyā gul khilā rahā hai
wo mast-e-naz har su jalwa dikha raha hai
aankhon mein chha raha hai dil mein sama raha hai
lutf-e-sharab-e-ulfat mahfil mein aa raha hai
aankhen mila ke koi be-KHud bana raha hai
tham-tham ke dard uThe ruk-ruk ke har KHalish mein
rah-rah ke dil mein koi nashtar laga raha hai
ye kya KHabar thi ya-rab wahshat baDhegi phir ab
diwana-war koi mujh ko phira raha hai
bahr-e-fana mein apna ye sans jazr-o-mad hai
tufan-e-'ishq-e-jaanan lahren dikha raha hai
us ki nazar ki bijli sar-e-tur aa ke chamki
chashm-e-sanam ka surma jadu jaga raha hai
hasti ke hum chaman mein hain chashm-e-misl-e-nargis
'dagh'-e-firaq-e-mah-wash kya gul khila raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.