rahega koi to tegh-e-sitam ki yaadgaron mein
rahegā koī to teġh-e-sitam kī yādgāroñ meñ
mire lāshe ke TukḌe dafn karnā sau mazāroñ meñ
kisī kī nargis-e-maḳhmūr kuchh kah de ishāroñ meñ
mazā hai rāt-din chalte rahe parhezgāroñ meñ
vo ġhuncha huuñ shagufta dil rahā 'ālam kī ḳhāroñ meñ
vo kāñTā huuñ na khaTkā maiñ kisī ko gul-ezāroñ meñ
junūñ meñ dekhiye maidān kis ke haath rahtā hai
paḌe hai ābloñ meñ phuuT aur ekā hai ḳhāroñ meñ
baḌī tamkīn meñ kuchh shoḳhī to kuchh shoḳhī meñ be-tābī
hue tum aur se kuchh aur aakar be-qarāroñ meñ
vo sharmā.ī huī āñkheñ vo ghabrā.ī huī bāteñ
nikal kar ghar se vo ghirnā tirā ummīd-vāroñ meñ
'iyādat ke liye vo be-ḳhabar aayā ki maut aa.ī
ishāre ho ga.e kaise mere tīmār-dāroñ meñ
ajal kā naam leñ taqdīr ko ro.eñ mujhe koseñ
mire qātil kā charchā kyuuñ hai mere sogvāroñ meñ
dil apnā kis kā shaidā hai tumhārā vālā-o-shaidā
ye kis ke jāñ-nisāroñ meñ tumhār jāñ-nisāroñ meñ
palak uThtī nahīñ merī taraf kyā thak ga.iiñ āñkheñ
abhī to ho rahī thiiñ ġhair se bāteñ ishāroñ meñ
koī jannat kā ḳhvāhāñ hai koī kausar kā tālib hai
uḌā kartī hai be-par kī hamesha bāda-ḳhvāroñ meñ
huā hai ġhair ke taalā meñ kyā sābit ye sayyāra
nishān-e-mushtarī miltā nahīñ mere sitāroñ meñ
jo ham ujḌe huoñ par mehrbāñ ho charḳh ai gulchīñ
bajā.e barg paidā hoñ nasheman shāḳh-sāroñ meñ
phirā jaatā hai us but kī taraf ruḳh ahl-e-īmāñ kā
musalmāñ apne qible se na muñh phereñ hazāroñ meñ
ḳhafā hote ho kyuuñ ’ahd-e-vafā ke zikr par sach hai
na tum va.ada-kHilāfoñ meñ na ham be-e'tibāroñ meñ
ġhazab hai aur bhī is sādgī par mar ga.e lākhoñ
kahā thā kis ne ban baiTheñ vo mere sogvāroñ meñ
mile kyā tiir har-har zaḳhm meñ hai chuur ai qātil
ajal ke hosh gum hote haiñ tere dil-figāroñ meñ
jalānā 'dāġh' kā achchhā nahīñ ye dam ġhanīmat hai
ki aisā vafā ik aadh niklegā hazāroñ meñ
rahega koi to tegh-e-sitam ki yaadgaron mein
mere lashe ke TukDe dafn karna sau mazaron mein
kisi ki nargis-e-maKHmur kuchh kah de ishaaron mein
maza hai raat-din chalte rahe parhezgaron mein
wo ghuncha hun shagufta dil raha 'alam ki KHaron mein
wo kanTa hun na khaTka main kisi ko gul-ezaron mein
junun mein dekhiye maidan kis ke hath rahta hai
paDe hai aablon mein phuT aur eka hai KHaron mein
baDi tamkin mein kuchh shoKHi to kuchh shoKHi mein be-tabi
hue tum aur se kuchh aur aakar be-qararon mein
wo sharmai hui aankhen wo ghabrai hui baaten
nikal kar ghar se wo ghirna tera ummid-waron mein
'iyaadat ke liye wo be-KHabar aaya ki maut aai
ishaare ho gae kaise mere timar-daron mein
ajal ka nam len taqdir ko roen mujhe kosen
mere qatil ka charcha kyun hai mere sogwaron mein
dil apna kis ka shaida hai tumhaara wala-o-shaida
ye kis ke jaan-nisaron mein tumhaar jaan-nisaron mein
palak uThti nahin meri taraf kya thak gain aankhen
abhi to ho rahi thin ghair se baaten ishaaron mein
koi jannat ka KHwahan hai koi kausar ka talib hai
uDa karti hai be-par ki hamesha baada-KHwaron mein
hua hai ghair ke tala mein kya sabit ye sayyara
nishan-e-mushtari milta nahin mere sitaron mein
jo hum ujDe huon par mehrban ho charKH ai gulchin
bajae barg paida hon nasheman shaKH-saron mein
phira jata hai us but ki taraf ruKH ahl-e-iman ka
musalman apne qible se na munh pheren hazaron mein
KHafa hote ho kyun ’ahd-e-wafa ke zikr par sach hai
na tum wada-kHilafon mein na hum be-e'tibaron mein
ghazab hai aur bhi is sadgi par mar gae lakhon
kaha tha kis ne ban baiThen wo mere sogwaron mein
mile kya tir har-har zaKHm mein hai chur ai qatil
ajal ke hosh gum hote hain tere dil-figaron mein
jalana 'dagh' ka achchha nahin ye dam ghanimat hai
ki aisa wafa ek aadh niklega hazaron mein
- Book : Kulliyat-e-Dagh (Pg. 190)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.