hamare dam nikalne mein bhi ek aalam nikalta hai
hamāre dam nikalne meñ bhī ik 'ālam nikaltā hai
ki vo mushtāq haiñ dekheñ to kyūñ-kar dam nikaltā hai
kamī kyā paḌ ga.ī hai chāhne vāloñ kī ai qātil
ki ab talvār kam khiñchtī hai ḳhanjar kam nikaltā hai
na tujh sā aaj tak dekhā na tujh sā hashr tak dekheñ
un āñkhoñ se bahut niklā bahut 'ālam nikaltā hai
koī kyā chal sakegā us ḳhirām-e-nāz se baḌh kar
qayāmat kā tumhārī Thokaroñ meñ dam nikaltā hai
tum hī merī masīhā ho tum hī merī tamannā ho
tum hī par jaan jaatī hai tum hī par dam nikaltā hai
gila kaisā kahāñ kā rañj kaisā jāñbalab honā
jab us ne pyaar se pūchhā tumhārā dam nikaltā hai
ilāhī ḳhair karnā aaj koī 'dāġh' ke ghar se
na be-shevoñ nikaltā hai na be-mātam nikaltā hai
hamare dam nikalne mein bhi ek 'alam nikalta hai
ki wo mushtaq hain dekhen to kyun-kar dam nikalta hai
kami kya paD gai hai chahne walon ki ai qatil
ki ab talwar kam khinchti hai KHanjar kam nikalta hai
na tujh sa aaj tak dekha na tujh sa hashr tak dekhen
un aankhon se bahut nikla bahut 'alam nikalta hai
koi kya chal sakega us KHiram-e-naz se baDh kar
qayamat ka tumhaari Thokaron mein dam nikalta hai
tum hi meri masiha ho tum hi meri tamanna ho
tum hi par jaan jati hai tum hi par dam nikalta hai
gila kaisa kahan ka ranj kaisa jaanbalab hona
jab us ne pyar se puchha tumhaara dam nikalta hai
ilahi KHair karna aaj koi 'dagh' ke ghar se
na be-shewon nikalta hai na be-matam nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.