Font by Mehr Nastaliq Web

idhar dekh lena udhar dekh lena

Dagh Dehlvi

idhar dekh lena udhar dekh lena

Dagh Dehlvi

idhar dekh lenā udhar dekh lenā

kanakhiyoñ se us ko magar dekh lenā

faqat nabz se haal zāhir na hogā

mirā dil bhī ai chāragar dekh lenā

kabhī zikr-e-dīdār aayā to bole

qayāmat se bhī peshtar dekh lenā

na denā ḳhat-e-shauq ghabrā ke pahle

mahal mauqa' ai nāma-bar dekh lenā

kahīñ aise bigḌe sañvarte bhī dekhe

na ā.eñge vo raah par dekh lenā

taġhāful meñ shoḳhī nirālī adā thī

ġhazab thā vo muñh pher kar dekh lenā

shab-e-vā'da apnā yahī mashġhala thā

uThā kar nazar sū-e-dar dekh lenā

bulāyā jo ġhairoñ ko dā'vat meñ tum ne

mujhe peshtar apne ghar dekh lenā

mohabbat ke bāzār meñ aur kyā hai

koī dil dukhā.e agar dekh lenā

mire sāmne ġhair se bhī ishāre

idhar bhī udhar dekh kar dekh lenā

na ho nāzuk itnā bhī mashshāta koī

dahan dekh lenā kamar dekh lenā

nahīñ rakhne dete jahāñ paañv ham ko

usī āstāne pe sar dekh lenā

tamāshā-e-'ālam fursat hai kis ko

ġhanīmat hai bas ik nazar dekh lenā

diye jaate haiñ aaj kuchh likh ke tum ko

ise vaqt-e-fursat magar dekh lenā

hamīñ jaan deñge hamīñ mar miTeñge

hameñ tum kisī vaqt par dekh lenā

jalāyā to hai 'dāġh' ke dil ko tum ne

magar us hogā asar dekh lenā

idhar dekh lena udhar dekh lena

kanakhiyon se us ko magar dekh lena

faqat nabz se haal zahir na hoga

mera dil bhi ai chaaragar dekh lena

kabhi zikr-e-didar aaya to bole

qayamat se bhi peshtar dekh lena

na dena KHat-e-shauq ghabra ke pahle

mahal mauqa' ai nama-bar dekh lena

kahin aise bigDe sanwarte bhi dekhe

na aaenge wo rah par dekh lena

taghaful mein shoKHi nirali ada thi

ghazab tha wo munh pher kar dekh lena

shab-e-wa'da apna yahi mashghala tha

uTha kar nazar su-e-dar dekh lena

bulaya jo ghairon ko da'wat mein tum ne

mujhe peshtar apne ghar dekh lena

mohabbat ke bazar mein aur kya hai

koi dil dukhae agar dekh lena

mere samne ghair se bhi ishaare

idhar bhi udhar dekh kar dekh lena

na ho nazuk itna bhi mashshata koi

dahan dekh lena kamar dekh lena

nahin rakhne dete jahan panw hum ko

usi aastane pe sar dekh lena

tamasha-e-'alam ki fursat hai kis ko

ghanimat hai bas ek nazar dekh lena

diye jate hain aaj kuchh likh ke tum ko

ise waqt-e-fursat magar dekh lena

hamin jaan denge hamin mar miTenge

hamein tum kisi waqt par dekh lena

jalaya to hai 'dagh' ke dil ko tum ne

magar us ka hoga asar dekh lena

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now