Font by Mehr Nastaliq Web

jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta

Dagh Dehlvi

jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta

Dagh Dehlvi

jo ho saktā hai us se vo kisī se ho nahīñ saktā

magar dekho to phir kuchh aadmī se ho nahīñ saktā

alag karnā raqīboñ ilāhī tujh pe āsāñ hai

mujhe mushkil ki merī be-kasī se ho nahīñ saktā

mohabbat meñ kare kyā kuchh kisī se ho nahīñ saktā

mirā marnā bhī to merī ḳhushī se ho nahīñ saktā

kiyā hai vā'da unhoñ ne dekhiye kyā ho

yahāñ sabr-o-tahammul aaj se ho nahīñ saktā

chaman meñ naaz bulbul ne kiyā jab apne naame par

chaTak kar ġhuncha bolā kyā kisī se ho nahīñ saktā

na ronā hai tarīqa na hañsnā hai salīqa

pareshāñ meñ koī kaam se ho nahīñ saktā

'ilāj-e-dard-e-dil tum se masīhā ho nahīñ saktā

tum achchhā kar nahīñ sakte maiñ achchhā ho nahīñ saktā

ḳhudā jab dost hai ai 'dāġh' kyā dushman se andesha

hamārā kuchh kisī dushmanī se ho nahīñ saktā

jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta

magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin sakta

alag karna raqibon ka ilahi tujh pe aasan hai

mujhe mushkil ki meri be-kasi se ho nahin sakta

mohabbat mein kare kya kuchh kisi se ho nahin sakta

mera marna bhi to meri KHushi se ho nahin sakta

kiya hai wa'da unhon ne dekhiye kya ho

yahan sabr-o-tahammul aaj hi se ho nahin sakta

chaman mein naz bulbul ne kiya jab apne name par

chaTak kar ghuncha bola kya kisi se ho nahin sakta

na rona hai tariqa ka na hansna hai saliqa ka

pareshan mein koi kaam ji se ho nahin sakta

'ilaj-e-dard-e-dil tum se masiha ho nahin sakta

tum achchha kar nahin sakte main achchha ho nahin sakta

KHuda jab dost hai ai 'dagh' kya dushman se andesha

hamara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin sakta

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now