falak deta hai jinko aish un ko gham bhi hote hain
falak detā hai jin ko 'aish un ko ġham bhī hote haiñ
jahāñ bajte haiñ naqqāre vahāñ mātam bhī hote haiñ
gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrī
pareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ
jo rakhe chāragar kāfūr-e-dūnī aag lag jaa.e
kahīñ ye zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham bhī hote haiñ
vo āñkheñ sāmrī-fan haiñ vo lab-'īsā qafas dekho
mujh par sahar hote haiñ mujh par dam bhī hote haiñ
ba-zāhir rahnumā haiñ aur dil meñ bad-gumānī hai
tire kūcha meñ jo jaatā hai aage ham bhī hote haiñ
hamāre āñsuoñ kī āb-dārī aur hī kuchh hai
ki yuuñ hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhī hote haiñ
kisī kā va.ada-e-dīdār to ai 'dāġh' bar-haq hai
magar ye dekhiye dil shaad us din ham bhī hote haiñ
falak deta hai jin ko 'aish un ko gham bhi hote hain
jahan bajte hain naqqare wahan matam bhi hote hain
gile shikwe kahan tak honge aadhi raat to guzri
pareshan tum bhi hote ho pareshan hum bhi hote hain
jo rakhe chaaragar kafur-e-duni aag lag jae
kahin ye zaKHm-e-dil sharminda-e-marham bhi hote hain
wo aankhen samri-fan hain wo lab-'isa qafas dekho
mujh par sahar hote hain mujh par dam bhi hote hain
ba-zahir rahnuma hain aur dil mein bad-gumani hai
tere kucha mein jo jata hai aage hum bhi hote hain
hamare aansuon ki aab-dari aur hi kuchh hai
ki yun hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhi hote hain
kisi ka wada-e-didar to ai 'dagh' bar-haq hai
magar ye dekhiye dil shad us din hum bhi hote hain
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 8)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.