kaha na kuchh ’arz-e-mudda’a par wo le rahe dam ko muskura kar
kaha na kuchh ’arz-e-mudda’a par wo le rahe dam ko muskura kar
Dagh Dehlvi
MORE BYDagh Dehlvi
kahā na kuchh 'arz-e-mudda'ā par vo le rahe dam ko muskurā kar
sunā kiye haal chupke-chupke nazar uThā.ī na sar uThā kar
na tuur dekhe na rañg barte ġhazab meñ aayā huuñ dil lagā kar
vagar na detā hai dil zamāna ye aazmā kar vo aazmā kar
tabīb kahte haiñ kuchh davā kar habīb kahte haiñ bas du'ā kar
raqīb karte haiñ bas iltijā kar ġhazab meñ aayā huuñ dil lagā kar
tirī mohabbat ne maar Daalā hazār iizā se mujh ko zālim
rulā-rulā kar ghulā-ghulā kar jalā-jalā kar miTā-miTā kar
tum hī to ho jo ki ḳhvāb meñ ho tum hī to ho jo ḳhayāl meñ ho
kahāñ chale aañkh meñ samā kar kidhar ko jaate ho dil meñ aakar
na har bashar kā jamāl aisā na har farishte kā haal aisā
kuchh aur se aur ho gayā tū mirī nazar meñ samā-samā kar
ḳhudā kā milnā bahut hai āsāñ butoñ kā milnā hai saḳht mushkil
yaqīñ nahīñ gar kisī ko hamdam to koī laa.e use manā kar
janāb-e-sultān 'ishq vo hai kare jo ai 'dāġh' ik ishāra
farishte hāzir hoñ dast-basta adab se gardan jhukā-jhukā kar
kaha na kuchh 'arz-e-mudda'a par wo le rahe dam ko muskura kar
suna kiye haal chupke-chupke nazar uThai na sar uTha kar
na tur dekhe na rang barte ghazab mein aaya hun dil laga kar
wagar na deta hai dil zamana ye aazma kar wo aazma kar
tabib kahte hain kuchh dawa kar habib kahte hain bas du'a kar
raqib karte hain bas iltija kar ghazab mein aaya hun dil laga kar
teri mohabbat ne mar Dala hazar iza se mujh ko zalim
rula-rula kar ghula-ghula kar jala-jala kar miTa-miTa kar
tum hi to ho jo ki KHwab mein ho tum hi to ho jo KHayal mein ho
kahan chale aankh mein sama kar kidhar ko jate ho dil mein aakar
na har bashar ka jamal aisa na har farishte ka haal aisa
kuchh aur se aur ho gaya tu meri nazar mein sama-sama kar
KHuda ka milna bahut hai aasan buton ka milna hai saKHt mushkil
yaqin nahin gar kisi ko hamdam to koi lae use mana kar
janab-e-sultan 'ishq wo hai kare jo ai 'dagh' ek ishaara
farishte hazir hon dast-basta adab se gardan jhuka-jhuka kar
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.