milte hi be-bak thi wo aankh sharmai hui
milte hī be-bāk thī vo aañkh sharmā.ī huī
phir ga.ī pachhtā ke palkoñ tak hayā aa.ī huī
har adā mastāna sar se paañv tak chhā.ī huī
uff tirī kāfir javānī josh par aa.ī huī
mujh ko ye da.ava koī tere sivā dil meñ nahīñ
un ko ye ilzām achchhī qaid-e-tanhā.ī huī
Tok kar raste meñ pyaar aahī gayā us shoḳh par
vo nazar hairat-zada vo baat ghabrā.ī huī
ye milā zikr qiyāmat par qiyāmat kā javāb
kyā uThegī vo hamārī Thokareñ khaa.ī huī
tauba kar zāhid karūñ tauba maiñ aise vaqt meñ
ye bahār aa.ī huī aisī ghaTā chhā.ī huī
bholī sūrat par tirī tasvīr kā vo bāñkpan
lab pe zāhir hai tabassum dil meñ itrā.ī huī
dekh kar qātil kī aamad 'dāġh' dil meñ shaad shaad
aur ġham-ḳhvāroñ ke muñh par murdanī chhā.ī huī
milte hi be-bak thi wo aankh sharmai hui
phir gai pachhta ke palkon tak haya aai hui
har ada mastana sar se panw tak chhai hui
uff teri kafir jawani josh par aai hui
mujh ko ye dawa koi tere siwa dil mein nahin
un ko ye ilzam achchhi qaid-e-tanhai hui
Tok kar raste mein pyar aahi gaya us shoKH par
wo nazar hairat-zada wo baat ghabrai hui
ye mila zikr qiyamat par qiyamat ka jawab
kya uThegi wo hamari Thokaren khai hui
tauba kar zahid karun tauba main aise waqt mein
ye bahaar aai hui aisi ghaTa chhai hui
bholi surat par teri taswir ka wo bankpan
lab pe zahir hai tabassum dil mein itrai hui
dekh kar qatil ki aamad 'dagh' dil mein shad shad
aur gham-KHwaron ke munh par murdani chhai hui
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 17)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.