lag chali baad-e-saba kya kis mastane se
lag chalī bād-e-sabā kyā kis mastāne se
jhūmtī aaj chalī aatī hai mai-ḳhāne se
ruuh kis mast kī pyāsī ga.ī mai-ḳhāne se
mai uḌī jaatī hai saaqī tire paimāne se
fikr hai dost ko ahvāl sunā.ūñ kyuuñ kar
TukḌe hotā hai kaleja mirā afsāne se
ḳhuun bahā kī hai 'abas fikr mire qatl ke ba.ad
ab du'ā kījiye kyā fā.eda ghabrāne se
va.ada-e-vasl kī takrār ne ham ko maarā
faisla kHuub huā baat ke baḌh jaane se
kar diyā saaf alag dil ne hameñ ulfat se
haath pe haath dhare baiThe haiñ be-gāne se
ek chullū meñ bahut 'dāġh' bahak uThte the
aaj sunte haiñ nikāle ga.e mai-ḳhāne se
lag chali baad-e-saba kya kis mastane se
jhumti aaj chali aati hai mai-KHane se
ruh kis mast ki pyasi gai mai-KHane se
mai uDi jati hai saqi tere paimane se
fikr hai dost ko ahwal sunaun kyun kar
TukDe hota hai kaleja mera afsane se
KHun baha ki hai 'abas fikr mere qatl ke baad
ab du'a kijiye kya faeda ghabrane se
wada-e-wasl ki takrar ne hum ko mara
faisla kHub hua baat ke baDh jaane se
kar diya saf alag dil ne hamein ulfat se
hath pe hath dhare baiThe hain be-gane se
ek chullu mein bahut 'dagh' bahak uThte the
aaj sunte hain nikale gae mai-KHane se
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.