ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
'ajab apnā haal hotā jo visāl-e-yār hotā
kabhī jaan sadqe hotī kabhī dil nisār hotā
koī fitna tā-qiyāmat na phir āshkār hotā
tire dil pe kaash zālim mujhe iḳhtiyār hotā
jo tumhārī tarah tum se koī jhūTe va.ada karatā
tumhīñ munsifī se kah do tumheñ e'tibār hotā
ye maza thā dil lagī kā ki barābar aag lagtī
na tujhe qarār kar hotā na mujhe qarār hotā
tire va.ade par sitam-gar abhī aur sabr karte
hameñ apnī zindagī kā agar e'tibār hotā
ye vo dard-e-dil nahīñ hai ki ho chāra-sāz koī
agar ek baar thamtā to hazār baar hotā
tumheñ naaz ho na kyuuñ kar ki liyā hai 'dāġh' kā dil
ye raqam na haath lagtī na ye iftiḳhār hotā
'ajab apna haal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
koi fitna ta-qiyamat na phir aashkar hota
tere dil pe kash zalim mujhe iKHtiyar hota
jo tumhaari tarah tum se koi jhuTe wada karata
tumhin munsifi se kah do tumhein e'tibar hota
ye maza tha dil lagi ka ki barabar aag lagti
na tujhe qarar kar hota na mujhe qarar hota
tere wade par sitam-gar abhi aur sabr karte
hamein apni zindagi ka agar e'tibar hota
ye wo dard-e-dil nahin hai ki ho chaara-saz koi
agar ek bar thamta to hazar bar hota
tumhein naz ho na kyun kar ki liya hai 'dagh' ka dil
ye raqam na hath lagti na ye iftiKHar hota
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.