dard rukta nahin ek pal bhi ishq ki ye saza mil rahi hai
dard rukta nahin ek pal bhi ishq ki ye saza mil rahi hai
Naza'n Sholapuri
MORE BYNaza'n Sholapuri
dard ruktā nahīñ ek pal bhī 'ishq kī ye sazā mil rahī hai
maut se pahle hī mar ga.e ham choT nazroñ kī aisī lagī hai
be-vafā itnā ehsān kar de kam se kam 'ishq kī laaj rakh le
do qadam chal ke kāñdhā to de-de tere 'āshiq kī mayyat uThī hai
raat kaTtī hai gin-gin ke taare niiñd aatī nahīñ ek pal bhī
aañkh lagtī nahīñ ab hamārī aañkh us but se aisī lagī hai
is qadar mere dil ko nichoḌā ek qatra lahū kā na chhoḌā
jagmagātī hai jo un kī ḳhalvat vo mire ḳhuun kī raushnī hai
laḌkhaḌātā huā jab bhī 'nāzāñ' un kī rañgīn mahfil meñ pahuñchā
dekh kar mujh ko logoñ se bole ye vahī be-vafā aadmī hai
dard rukta nahin ek pal bhi 'ishq ki ye saza mil rahi hai
maut se pahle hi mar gae hum choT nazron ki aisi lagi hai
be-wafa itna ehsan kar de kam se kam 'ishq ki laj rakh le
do qadam chal ke kandha to de-de tere 'ashiq ki mayyat uThi hai
raat kaTti hai gin-gin ke tare nind aati nahin ek pal bhi
aankh lagti nahin ab hamari aankh us but se aisi lagi hai
is qadar mere dil ko nichoDa ek qatra lahu ka na chhoDa
jagmagati hai jo un ki KHalwat wo mere KHun ki raushni hai
laDkhaData hua jab bhi 'nazan' un ki rangin mahfil mein pahuncha
dekh kar mujh ko logon se bole ye wahi be-wafa aadmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.