Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jab aadmi muddaa-e-haq hai to kya kahen mudda’a kahan hai

Darshan Singh

jab aadmi muddaa-e-haq hai to kya kahen mudda’a kahan hai

Darshan Singh

MORE BYDarshan Singh

    jab aadmī mudda'ā-e-haq hai to kyā kaheñ mudda’ā kahāñ hai

    ḳhudā hai ḳhud jis ke dil meñ pinhāñ vo DhūñDhtā hai ḳhudā kahāñ hai

    ye bazm-e-yārān-e-ḳhud-numā hai na kar ḳhulūs-o-vafā bāteñ

    sabhī to haiñ mudda.ī vafā ke yahāñ koī be-vafā kyā hai

    tamām partav haiñ 'aks-e-partav tamām jalve haiñ 'aks-e-jalva

    kahāñ se lā.ūñ misāl-e-sūrat ki aap dūsrā kahāñ hai

    nihāñ haiñ takmīl-e-ḳhud-shanāsī meñ jalva hā-e-ḳhudā shanāsī

    jo apnī hastī se be-ḳhabar hai vo aap se āshnā kahāñ hai

    paḌī hai sunsān dil vaadī akelā mahv-e-talāsh huuñ maiñ

    ki 'ishq ke rāh-rau kidhar haiñ vafāoñ qāfila kahāñ hai

    jinheñ vasā.el pe hai bharosa ye baat un ko batā de koī

    bachā le kashtī ko jo bhañvar se ḳhudā hai vo nāḳhudā kahāñ hai

    paḌā rahne do sar ba-sajda na chhūTne do ye āstāna

    ki 'darshan'-e-ḳhasta Thikāna tumhār dar ke sivā kahāñ hai

    jab aadmi mudda'a-e-haq hai to kya kahen mudda’a kahan hai

    KHuda hai KHud jis ke dil mein pinhan wo DhunDhta hai KHuda kahan hai

    ye bazm-e-yaran-e-KHud-numa hai na kar KHulus-o-wafa ki baaten

    sabhi to hain muddai wafa ke yahan koi be-wafa kya hai

    tamam partaw hain 'aks-e-partaw tamam jalwe hain 'aks-e-jalwa

    kahan se laun misal-e-surat ki aap sa dusra kahan hai

    nihan hain takmil-e-KHud-shanasi mein jalwa ha-e-KHuda shanasi

    jo apni hasti se be-KHabar hai wo aap se aashna kahan hai

    paDi hai sunsan dil ki wadi akela mahw-e-talash hun main

    ki 'ishq ke rah-rau kidhar hain wafaon ka qafila kahan hai

    jinhen wasael pe hai bharosa ye baat un ko bata de koi

    bacha le kashti ko jo bhanwar se KHuda hai wo naKHuda kahan hai

    paDa hi rahne do sar ba-sajda na chhuTne do ye aastana

    ki 'darshan'-e-KHasta ka Thikana tumhaar dar ke siwa kahan hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now