dekh lete vo idhar bhī kabhī āte-jāte
ḳhaak meñ nīchī nigāhoñ se milāte jaate
raah meñ apnā banāyā thā hamārā madfan
koī Thokar to lagā dete tum āte-jāte
nāma-bar aa ke hameñ zinda na tū pā.egā
jaan jā.egī hamārī tire āte-jāte
aarzū thī ki guzartī kabhī yuuñ bhī koī raat
rūThte jaate vo ham un ko manāte jaate
jab yaqīñ aatā ki sachche haiñ tumhār va.ade
jhūTī qasmeñ tab vo sar kī mirī khāte jaate
har gile par mujhe gaalī koī dete shab-e-vasl
kuchh mirī sunte kuchh aap apnī sunāte jaate
mel un shokh-nigāhoñ se jo thā madd-e-nazar
ham se bhī hazrat dil aañkh milāte jaate
us kā kyā shikvā ki pahlū meñ na Thahre ye jalāl
dil Thaharne kī koī shakl batāte jaate
dekh lete wo idhar bhi kabhi aate-jate
KHak mein nichi nigahon se milate jate
rah mein apna banaya tha hamara madfan
koi Thokar to laga dete tum aate-jate
nama-bar aa ke hamein zinda na tu paega
jaan jaegi hamari tere aate-jate
aarzu thi ki guzarti kabhi yun bhi koi raat
ruThte jate wo hum un ko manate jate
jab yaqin aata ki sachche hain tumhaar wade
jhuTi qasmen tab wo sar ki meri khate jate
har gile par mujhe gali koi dete shab-e-wasl
kuchh meri sunte kuchh aap apni sunate jate
mel un shokh-nigahon se jo tha madd-e-nazar
hum se bhi hazrat dil aankh milate jate
us ka kya shikwa ki pahlu mein na Thahre ye jalal
dil Thaharne ki koi shakl batate jate
Source :
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.