dekh parda uTha ke ghaflat ka
dekh parda uThā ke ġhaflat kā
aadmī ā.īna hai qudrat kā
tere 'āshiq haiñ tujh pe marte haiñ
kaun bhūkā hai terī jannat kā
do damoñ par hai inhisār-e-vujūd
ek vahdat kā ik risālat kā
sar ragaḌtā huuñ pā-e-sāqī par
haq adā ho na ho 'ibādat kā
kaun mā'shūq kaun 'āshiq hai
kis ko dā'va nahīñ mohabbat kā
naaz nisbat pe kyuuñ na ho 'rizvāñ'
jab ki dāman milā hai nisbat kā
dekh parda uTha ke ghaflat ka
aadmi aaina hai qudrat ka
tere 'ashiq hain tujh pe marte hain
kaun bhuka hai teri jannat ka
do damon par hai inhisar-e-wujud
ek wahdat ka ek risalat ka
sar ragaDta hun pa-e-saqi par
haq ada ho na ho 'ibaadat ka
kaun ma'shuq kaun 'ashiq hai
kis ko da'wa nahin mohabbat ka
naz nisbat pe kyun na ho 'rizwan'
jab ki daman mila hai nisbat ka
- Book : Al-kabeer
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.