dil ka aalam aashiqi mein kya kahun kya ho gaya
dil kā aalam āshiqī meñ kyā kahūñ kyā ho gayā
rañj sahte sahte patthar kā kaleja ho gayā
chain ek din bhī na paayā maiñ firāq-e-yār meñ
vahshat-e-dil kam huī thī kuchh ki saudā ho gayā
gir paḌe ġhash khā ke āshiq aur murde jī uThe
do-qadam jab vo chale ye hashr barpā ho gayā
ho ga.e ham sūrat-e-dīvār us ko dekh kar
kūcha-e-jānāñ meñ kal apnā ye naqsha ho gayā
haal sun ke yaar kā aa.ī tan-e-be-jāñ meñ jaañ
nāma-bar mere liye goyā masīhā ho gayā
sair karne baam par aayā jo vo parda-nashīñ
saarā aalam dekh kar mahv-e-tamāsha ho gayā
zikr apnā āj-kal sunte haiñ 'aughaT' har kahīñ
apnī barbādī kā bhī mash.hūr qissa ho gayā
dil ka aalam aashiqi mein kya kahun kya ho gaya
ranj sahte sahte patthar ka kaleja ho gaya
chain ek din bhi na paya main firaq-e-yar mein
wahshat-e-dil kam hui thi kuchh ki sauda ho gaya
gir paDe ghash kha ke aashiq aur murde ji uThe
do-qadam jab wo chale ye hashr barpa ho gaya
ho gae hum surat-e-diwar us ko dekh kar
kucha-e-jaanan mein kal apna ye naqsha ho gaya
haal sun ke yar ka aai tan-e-be-jaan mein jaan
nama-bar mere liye goya masiha ho gaya
sair karne baam par aaya jo wo parda-nashin
sara aalam dekh kar mahw-e-tamasha ho gaya
zikr apna aaj-kal sunte hain 'aughaT' har kahin
apni barbaadi ka bhi mashhur qissa ho gaya
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 14)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.