dil liya iman liya aur be-sar-o-saman kiya
dil liyā īmāñ liyā aur be-sar-o-sāmāñ kiyā
ye merā kaisā bharā ghar ishq ne vīrāñ kiyā
ye ḳhudā kī maslahat us kī shikāyat kyā kareñ
dī butoñ ko us ne dānā.ī hameñ nādāñ kiyā
diin aur duniyā ke jhagḌe se jo dī mujh ko najāt
ye baḌā ai hazrat-e-ishq aap ne ehsāñ kiyā
āshiqoñ ko phir qazā aa.ī qayāmat ho ga.ī
phir samand-e-nāz ko us turk ne jaulāñ kiyā
dekhiye rahtī hai kal maqtal meñ kis kī aabrū
aaj phir saffāk ne hai nīmcha barañ kiyā
aur 'aughat' kyā thā mere paas jo kartā nisār
hazrat-e-'vāris' ke sadqe diin aur īmāñ kiyā
dil liya iman liya aur be-sar-o-saman kiya
ye mera kaisa bhara ghar ishq ne viran kiya
ye KHuda ki maslahat us ki shikayat kya karen
di buton ko us ne danai hamein nadan kiya
din aur duniya ke jhagDe se jo di mujh ko najat
ye baDa ai hazrat-e-ishq aap ne ehsan kiya
aashiqon ko phir qaza aai qayamat ho gai
phir samand-e-naz ko us turk ne jaulan kiya
dekhiye rahti hai kal maqtal mein kis ki aabru
aaj phir saffak ne hai nimcha baran kiya
aur 'aughat' kya tha mere pas jo karta nisar
hazrat-e-'waris' ke sadqe din aur iman kiya
- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 21)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.