dil mein kuchh aur mere hasrat-o-arman nahin teri chahat ke siwa
dil mein kuchh aur mere hasrat-o-arman nahin teri chahat ke siwa
Shah Khamosh Sabri
MORE BYShah Khamosh Sabri
dil meñ kuchh aur mire hasrat-o-armān nahīñ terī chāhat ke sivā
aah afsos taraf mere tirā dhyān nahīñ kyuuñ tū hai mujh se ḳhafā
ek din vo thā ki har dam tire dam-sāz the ham tere hamrāz the ham
ab to ye naqsha hai sūrat kī bhī pahchān nahīñ āshnā thā yā na thā
paas jab tak rahe ham aap ke dil-shād rahe kHuub āzād rahe
ab to fursat hameñ ġham se kabhī ik aan nahīñ jab se haiñ tum se judā
pahle to apnī nazar meñ mujhe manzūr kyā kHuub masrūr kiyā
bazm se apnī mujhe kāhai ko phir duur kyā merī taqsīr batā
haal sakta kā sā hai kah to nahīñ saktā huuñ maiñ tirī rah taktā huuñ maiñ
dard-e-furqat se mire tan meñ rahī jaan nahīñ ai masīhā mire aa
bāñdh ḳhāmosh kamar jald se kar azm-e-safar mauj-e-dariyā se na Dar
nāḳhudā kashtī kā kuchh terā nigahbān nahīñ terā hāfiz hai ḳhudā
dil mein kuchh aur mere hasrat-o-arman nahin teri chahat ke siwa
aah afsos taraf mere tera dhyan nahin kyun tu hai mujh se KHafa
ek din wo tha ki har dam tere dam-saz the hum tere hamraaz the hum
ab to ye naqsha hai surat ki bhi pahchan nahin aashna tha ya na tha
pas jab tak rahe hum aap ke dil-shad rahe kHub aazad rahe
ab to fursat hamein gham se kabhi ek aan nahin jab se hain tum se juda
pahle to apni nazar mein mujhe manzur kya kHub masrur kiya
bazm se apni mujhe kahai ko phir dur kya meri taqsir bata
haal sakta ka sa hai kah to nahin sakta hun main teri rah takta hun main
dard-e-furqat se mere tan mein rahi jaan nahin ai masiha mere aa
bandh KHamosh kamar jald se kar azm-e-safar mauj-e-dariya se na Dar
naKHuda kashti ka kuchh tera nigahban nahin tera hafiz hai KHuda
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 307)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.