dil ne hamare baiThe-baiThe kaise-kaise rog lagae
dil ne hamāre baiThe-baiThe kaise-kaise rog lagā.e
tum ne kisī kā naam liyā aur āñkhoñ meñ apnī aañsū aa.e
jitnī zabāneñ utne qisse apnī udāsī ke kāran
lekin log abhī tak ye saada sī pahelī buujh na paa.e
'ishq kiyā hai kis se kiyā hai kab se kiyā hai kaise kiyā hai
logoñ ko ik baat milī apne ko to lekin ronā aa.e
raah meñ yuuñ hī chalte-chalte un kā dāman thaam liyā thā
ham un se kuchh māñgeñ chāhe ham se to ye sochā bhī na jaa.e
najm-e-sahar ke chehre se 'inshā' itnī bhī ummīdeñ na lagāo
aisā bhī ham ne dekhā hai aksar raat kaTe aur sub.h na aa.e
dil ne hamare baiThe-baiThe kaise-kaise rog lagae
tum ne kisi ka nam liya aur aankhon mein apni aansu aae
jitni zabanen utne qisse apni udasi ke karan
lekin log abhi tak ye sada si paheli bujh na pae
'ishq kiya hai kis se kiya hai kab se kiya hai kaise kiya hai
logon ko ek baat mili apne ko to lekin rona aae
rah mein yun hi chalte-chalte un ka daman tham liya tha
hum un se kuchh mangen chahe hum se to ye socha bhi na jae
najm-e-sahar ke chehre se 'insha' itni bhi ummiden na lagao
aisa bhi hum ne dekha hai aksar raat kaTe aur subh na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.