Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil wahi hai jis mein wo dildar hai

Shah Akbar Danapuri

dil wahi hai jis mein wo dildar hai

Shah Akbar Danapuri

dil vahī hai jis meñ vo dildār hai

aañkh vo hai jis meñ rū-e-yār hai

tālib-e-dīdār se parda nahīñ

kyuuñ hijāb-e-ruḳh naqāb-e-yār hai

hai ḳhatā us riñd mast-e-alast

jo sharāb-e-ishq sarshār hai

rañg-e-gul phīkā hai jis ke sāmne

itnā rañgīñ yaar ruḳhsār hai

DhūñDte haiñ kis ko sab ahl-e-talab

vo to ham sab ke gale haar hai

yā-ḳhudā 'akbar' kashtī ko nikāl

is beḌe khevan-hār hai

dil wahi hai jis mein wo dildar hai

aankh wo hai jis mein ru-e-yar hai

talib-e-didar se parda nahin

kyun hijab-e-ruKH naqab-e-yar hai

hai KHata us rind ka mast-e-alast

jo sharab-e-ishq ka sarshaar hai

rang-e-gul phika hai jis ke samne

itna rangin yar ka ruKHsar hai

DhunDte hain kis ko sab ahl-e-talab

wo to hum sab ke gale ka haar hai

ya-KHuda 'akbar' ki kashti ko nikal

tu hi is beDe ka khewan-haar hai

Source :
  • Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 146)
  • Author :Shah Akbar Danapuri
  • Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
  • Edition : First
  • Book : Ruhani Guldasta (Pg. 20)
  • Author :Shah Akbar Danapuri
  • Publication : Tanzim-e-Akbari, Khanqah Sajjadia, Danapur (2012)
  • Edition : First
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now