hai jannat meri jalwa-gah-e-nizami
hai jannat merī jalva-gāh-e-nizāmī
hai kā'ba merā bārgāh-e-nizāmī
nigāhoñ meñ jachtā nahīñ tāj-e-shāhī
mere sar pe hai gard rāh-e-nizāmī
gayā bhuul maiñ dair-o-ka'aba kā rasta
nigāhoñ ne dekhī jo rāh-e-nizāmī
nahīñ baat kahne kī kyā ho gayā huuñ
paḌī mujh pe jab se nigāh-e-nizāmī
faqīroñ kā bas ik yahī aasrā hai
salāmat rahe bārgāh-e-nizāmī
kiyā hai jise sab farishtoñ ne sajda
milī hai mujhe vo kulāh-e-nizāmī
vo dīvāne haiñ jo ki dīvāna samjheñ
maiñ 'dīvāna' huuñ dād-kHvāh-e-nizāmī
hai jannat meri jalwa-gah-e-nizami
hai ka'ba mera bargah-e-nizami
nigahon mein jachta nahin taj-e-shahi
mere sar pe hai gard rah-e-nizami
gaya bhul main dair-o-ka'aba ka rasta
nigahon ne dekhi jo rah-e-nizami
nahin baat kahne ki kya ho gaya hun
paDi mujh pe jab se nigah-e-nizami
faqiron ka bas ek yahi aasra hai
salamat rahe bargah-e-nizami
kiya hai jise sab farishton ne sajda
mili hai mujhe wo kulah-e-nizami
wo diwane hain jo ki diwana samjhen
main 'diwana' hun dad-kHwah-e-nizami
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.