diya iman lagaya dagh apni parsai mein
diyā īmāñ lagāyā daaġh apnī pārsā.ī meñ
ḳhudā ko chhoḌ baiThe un butoñ kī āshnā.ī meñ
piit kiye dharm gayā aur bigḌe saare kaam
apne the so bairī bha.e naam huā badnām
tumhāre vāste rusvā hue saarī ḳhudā.ī meñ
pītam tum pardes ga.e aur le ga.e morā chain
tumre kāran raam dahā.ī kalpat huuñ din rain
taḌaptā huuñ mere paimāñ-shikan terī judā.ī meñ
vāris daatā aan bachāo naav phañsī mañjdhār
sā.īñ aapan dayā karo ki laage beḌā paar
tumhārā naam to mash.hūr hai mushkil-kushā.ī meñ
dhanī kareñ kañgāl ko sāhib ġharīb-navāz
vāris guru kā daasī 'aughaT' karat hai jag meñ raaj
mazā hai bādshāhī kā tire dar kī gadā.ī meñ
'aughaT' ab chup sādhiye ki baat na pahuñche duur
luTā baiThā vo naqd-e-jāñ kisī kī rū-numā.ī meñ
diya iman lagaya dagh apni parsai mein
KHuda ko chhoD baiThe un buton ki aashnai mein
pit kiye dharm gaya aur bigDe sare kaam
apne the so bairi bhae nam hua badnam
tumhaare waste ruswa hue sari KHudai mein
pitam tum pardes gae aur le gae mora chain
tumre karan ram dahai kalpat hun din rain
taDapta hun mere paiman-shikan teri judai mein
waris data aan bachao naw phansi manjdhaar
sain aapan daya karo ki lage beDa par
tumhaara nam to mashhur hai mushkil-kushai mein
dhani karen kangal ko sahib gharib-nawaz
waris guru ka dasi 'aughaT' karat hai jag mein raj
maza hai baadshahi ka tere dar ki gadai mein
'aughaT' ab chup sadhiye ki baat na pahunche dur
luTa baiTha wo naqd-e-jaan kisi ki ru-numai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.