do din ki tan-asani ke liye taqdir ka shikwa kaun kare
do din ki tan-asani ke liye taqdir ka shikwa kaun kare
Shah Mahmoodul Hasan
MORE BYShah Mahmoodul Hasan
do din kī tan-āsānī ke liye taqdīr kā shikvā kaun kare
rahnā hī nahīñ jab duniyā meñ duniyā kī tamannā kaun kare
is oT meñ sab kuchh karte ho dāman bhī bachā.e rahte ho
ilzām bhī ham par dharte ho gar ham na hoñ parda kaun kare
vo baat hamāre bas kī thī ye kaam hamāre bas kā nahīñ
tashkīl-e-tamannā to kar lī takmīl-e-tamannā kaun kare
but-sāzī-e-vahm-o-kHayāl sahī taskīn kī sūrat to niklī
duniyā ko jatā ke fareb-e-nazar sharminda-o-rusvā kaun kare
ḳhūñ-rez hai jis kā har ġhamza parde se vahī qātil niklā
hairat meñ duniyā mahshar hai khaḌī ab ḳhuun kā da.ava kaun kare
'mahmūd' na tum majbūr karo hasrat meñ kisī kī marne do
ikHfā-e-mohabbat meñ haiñ maze iz.hār-e-tamannā kaun kare
do din ki tan-asani ke liye taqdir ka shikwa kaun kare
rahna hi nahin jab duniya mein duniya ki tamanna kaun kare
is oT mein sab kuchh karte ho daman bhi bachae rahte ho
ilzam bhi hum par dharte ho gar hum na hon parda kaun kare
wo baat hamare bas ki thi ye kaam hamare bas ka nahin
tashkil-e-tamanna to kar li takmil-e-tamanna kaun kare
but-sazi-e-wahm-o-kHayal sahi taskin ki surat to nikli
duniya ko jata ke fareb-e-nazar sharminda-o-ruswa kaun kare
KHun-rez hai jis ka har ghamza parde se wahi qatil nikla
hairat mein duniya mahshar hai khaDi ab KHun ka dawa kaun kare
'mahmud' na tum majbur karo hasrat mein kisi ki marne do
ikHfa-e-mohabbat mein hain maze izhaar-e-tamanna kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.