do-jahan jalwa-e-jaanan ke siwa kuchh bhi nahin
do-jahāñ jalva-e-jānāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ham ne kuchh aur na dekhā to ḳhatā kuchh bhī nahīñ''
kuchh na hone ke sivā dār-e-fanā kuchh bhī nahīñ
hai agar kuchh to yahāñ ġhair-e-ḳhudā kuchh bhī nahīñ
ishq har-ān na.ī shān-e-nazar rakhtā hai
ġhamza-o-ishva-o-andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ''
zindagī sail-e-musalsal hai ravāñ aur davāñ
mauj-o-gardāb-o-talātum kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
muttafiq ishq se is baat meñ hai aql 'zhīn'
dard haath aa.e to sab kuchh hai davā kuchh bhī nahīñ
do-jahan jalwa-e-jaanan ke siwa kuchh bhi nahin
hum ne kuchh aur na dekha to KHata kuchh bhi nahin
kuchh na hone ke siwa dar-e-fana kuchh bhi nahin
hai agar kuchh to yahan ghair-e-KHuda kuchh bhi nahin
ishq har-an nai shan-e-nazar rakhta hai
ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada kuchh bhi nahin
zindagi sail-e-musalsal hai rawan aur dawan
mauj-o-gardab-o-talatum ki KHata kuchh bhi nahin
muttafiq ishq se is baat mein hai aql 'zhin'
dard hath aae to sab kuchh hai dawa kuchh bhi nahin
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.