tu hasrat ki nazron pe qurban ho ja
tu hasrat ki nazron pe qurban ho ja
Dr. Abdul Aleem Siddiqui
MORE BYDr. Abdul Aleem Siddiqui
tū hasrat kī nazroñ pe qurbān ho jā
ki un kī hai har dam ye sū-e-mohammad
un āñkhoñ ko hai faiz chashm-e-'alī se
basā hai un āñkhoñ meñ rū-e-mohammad
ġhulām-e-mohammad ġhulām-e-'alī hai
ajal ḳhāna-zār-e-mohammad haiñ hasrat
ki rū-e-munavvar hai nūr-e-tajallā
mahaktī hai dāman se bū-e-mohammad
mohabbat kā paikar ye hasrat hai merā
ki girvīda us kā hai saarā zamāna
ragoñ meñ hai siddīq kā ḳhuun maftūm
basī hai tabī'at meñ khū-e-mohammad
gunahgār huuñ nām-levā huuñ hasrat
mirī laaj rakh le merī laaj rakh le
tirī laaj rakhī hai har dam ḳhudā ne
tirī aabrū ābrū-e-mohammad
hai dast-e-mohammad bajā dast-e-hasrat
ki 'ālam ko hai faiz saarā usī se
pahuñchtā hai ākHir ko hasrat ke dar par
kare jo koī ārzū-e-mohammad
mohammad kā tū hai hai tere mohammad
mehrbān terā huuñ terā huuñ hasrat
mujhe terā chehra hai rū-e-mohammad
mujhe terā kūcha hai kū-e-mohamma
tu hasrat ki nazron pe qurban ho ja
ki un ki hai har dam ye su-e-mohammad
un aankhon ko hai faiz chashm-e-'ali se
basa hai un aankhon mein ru-e-mohammad
ghulam-e-mohammad ghulam-e-'ali hai
ajal KHana-zar-e-mohammad hain hasrat
ki ru-e-munawwar hai nur-e-tajalla
mahakti hai daman se bu-e-mohammad
mohabbat ka paikar ye hasrat hai mera
ki girwida us ka hai sara zamana
ragon mein hai siddiq ka KHun maftum
basi hai tabi'at mein khu-e-mohammad
gunahgar hun nam-lewa hun hasrat
meri laj rakh le meri laj rakh le
teri laj rakhi hai har dam KHuda ne
teri aabru aabru-e-mohammad
hai dast-e-mohammad baja dast-e-hasrat
ki 'alam ko hai faiz sara usi se
pahunchta hai aakHir ko hasrat ke dar par
kare jo koi aarzu-e-mohammad
mohammad ka tu hai hai tere mohammad
mehrban tera hun tera hun hasrat
mujhe tera chehra hai ru-e-mohammad
mujhe tera kucha hai ku-e-mohamma
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.