duniya pe bharosa karata hai nadan kahin dhoka hoga
duniyā pe bharosa karatā hai nādān kahīñ dhoka hogā
ik chaltī phirtī chhāoñ hai ye ma.alūm nahīñ kal kyā hogā
hai fikr-e-ma.āl-e-ishq abas ye soch ġhalat hai kyā hogā
jab dar pe kisī ke baiTh chuke ab jo kuchh bhī hogā hogā
ḳhud tujhko jahāñ jalnā hai vahāñ dāman ko bachā.egā kab tak
ye ishq ke sho.ale haiñ unmeñ jal jal ke maze lenā hogā
ai chārāgār-e-kHush-fahm zarā kuchh aql kī le kuchh hosh kī le
bīmār-e-mohabbat bhī tujh se nādān kahīñ achchhā hogā
har chiiz kā ik haq hotā hai kuchh husn kā haq kuchh ishq kā haq
duniyā-e-mohabbat meñ tujhko har ek kā haq denā hogā
mailān-e-tabī.at hī Thahrā ho jaa.e jidhar bhī ho jaa.e
vo kHud-sar-o-kHud-bīñ ḳhud-ārā ye kis ko ḳhabar kis kā hogā
hai ḳhaak bhī jiske kūche kī iksīr-e-mokammal ai 'kāmil'
andāzā lagā lo ab us kā barbād-e-mohabbat kyā hogā
duniya pe bharosa karata hai nadan kahin dhoka hoga
ek chalti phirti chhaon hai ye malum nahin kal kya hoga
hai fikr-e-maal-e-ishq abas ye soch ghalat hai kya hoga
jab dar pe kisi ke baiTh chuke ab jo kuchh bhi hoga hoga
KHud tujhko jahan jalna hai wahan daman ko bachaega kab tak
ye ishq ke shoale hain unmen jal jal ke maze lena hoga
ai chaaragar-e-kHush-fahm zara kuchh aql ki le kuchh hosh ki le
bimar-e-mohabbat bhi tujh se nadan kahin achchha hoga
har chiz ka ek haq hota hai kuchh husn ka haq kuchh ishq ka haq
duniya-e-mohabbat mein tujhko har ek ka haq dena hoga
mailan-e-tabiat hi Thahra ho jae jidhar bhi ho jae
wo kHud-sar-o-kHud-bin KHud-ara ye kis ko KHabar kis ka hoga
hai KHak bhi jiske kuche ki iksir-e-mokammal ai 'kaamil'
andaza laga lo ab us ka barbaad-e-mohabbat kya hoga
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 260)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.