Sufinama

yahi ek aarzu rahti hai bekal dil ki duniya mein

Ehsan Danish

yahi ek aarzu rahti hai bekal dil ki duniya mein

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    yahī ik aarzū rahtī hai bekal dil duniyā meñ

    ki gum ho jā.ūñ 'ehsāñ' jalva-e-jān-e-tamnnā meñ

    jahāñ ḳhauf-e-fanā tīrgī mafqūd hotī hai

    jahāñ parvāz-e-fikr-e-shuq lā-mahdūd hotī hai

    jahāñ hote nahīñ duniyā-e-ġham parvar ke nazzāre

    jahāñ zarroñ ke dil meñ parvarish paate haiñ sayyāre

    jahāñ chāroñ taraf tanvīr tanvīr hotī hai

    'ibādat jahāñ bahjat fazā tafsīr hotī hai

    jahāñ masrūf rahtī hai nazar ā.īna-bīnī meñ

    jahāñ sūraj chamakte haiñ tabassum āfrīnī meñ

    jahāñ pā-e-ḳhirad rahtā nahīñ zindāñ tā'at meñ

    anal-haq anal-haq hai jahāñ bazm-e-samā’at meñ

    jahāñ chhūtī nahīñ bād-e-fanā dāmān-e-hastī ko

    jahāñ husn-parastish jānte haiñ ḳhud-parastī ko

    jahāñ nāpaid bahr-e-be-niyāzī kināra hai

    jahāñ taḳhlīq-e-'ālam ik taḳhayyul ishāra hai

    jahāñ jhuktā hai sar zo'm-o-ġhurūr-e-āsmānī

    ubaltā hai jahāñ shaffāf chashma zindagānī

    vahīñ darbār hai us kunto kanzan kahne vaale

    mirī āñkhoñ se ojhal mere dil meñ rahne vaale

    yahi ek aarzu rahti hai bekal dil ki duniya mein

    ki gum ho jaun 'ehsan' jalwa-e-jaan-e-tamnna mein

    jahan KHauf-e-fana ki tirgi mafqud hoti hai

    jahan parwaz-e-fikr-e-shuq la-mahdud hoti hai

    jahan hote nahin duniya-e-gham parwar ke nazzare

    jahan zarron ke dil mein parwarish pate hain sayyare

    jahan chaaron taraf tanwir hi tanwir hoti hai

    'ibaadat ki jahan bahjat faza tafsir hoti hai

    jahan masruf rahti hai nazar aaina-bini mein

    jahan suraj chamakte hain tabassum aafrini mein

    jahan pa-e-KHirad rahta nahin zindan ta'at mein

    anal-haq hi anal-haq hai jahan bazm-e-sama’at mein

    jahan chhuti nahin baad-e-fana daman-e-hasti ko

    jahan husn-parastish jaante hain KHud-parasti ko

    jahan napaid bahr-e-be-niyazi ka kinara hai

    jahan taKHliq-e-'alam ek taKHayyul ka ishaara hai

    jahan jhukta hai sar zo'm-o-ghurur-e-asmani ka

    ubalta hai jahan shaffaf chashma zindagani ka

    wahin darbar hai us kunto kanzan kahne wale ka

    meri aankhon se ojhal mere dil mein rahne wale ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now