Sufinama

ek KHush-ru se mohabbat ho gai

Aughat Shah Warsi

ek KHush-ru se mohabbat ho gai

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    ek ḳhush-rū se mohabbat ho ga.ī

    dil-lagī achchhī sūrat ho ga.ī

    laakh parda kījiyo hotā hai kyā

    aap zāhir haqīqat ho ga.ī

    ishq-bāzī meñ ye āzādī milī

    dīn-o-duniyā se farāġhat ho ga.ī

    sunte haiñ vaa.iz ki mai-ḳhāna meñ aaj

    rehn dastār-e-fazīlat ho ga.ī

    but-parastī ḳhudā ko chhoḌ kar

    kaisī ulTī apnī qismat ho ga.ī

    ham ko kiyā ḳhush-rū jahāñ meñ laakh hoñ

    ho ga.ī jis se mohabbat ho ga.ī

    lag ga.ī kis ḳhudā jaane nazar

    kaisī barham apnī sohbat ho ga.ī

    us bahr-e-ġham se beḌā paar hai

    jis pe 'vāris' ināyat ho ga.ī

    ab gale mil jaao 'aughaT' pyaar se

    ho chukā shikva-shikāyat ho ga.ī

    ek KHush-ru se mohabbat ho gai

    dil-lagi ki achchhi surat ho gai

    lakh parda kijiyo hota hai kya

    aap ki zahir haqiqat ho gai

    ishq-bazi mein ye aazadi mili

    din-o-duniya se faraghat ho gai

    sunte hain waiz ki mai-KHana mein aaj

    rehn dastar-e-fazilat ho gai

    but-parasti ki KHuda ko chhoD kar

    kaisi ulTi apni qismat ho gai

    hum ko kiya KHush-ru jahan mein lakh hon

    ho gai jis se mohabbat ho gai

    lag gai kis ki KHuda jaane nazar

    kaisi barham apni sohbat ho gai

    us ka bahr-e-gham se beDa par hai

    jis pe 'waris' ki inayat ho gai

    ab gale mil jao 'aughaT' pyar se

    ho chuka shikwa-shikayat ho gai

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 12)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now