nala-e-dil lab se jis din aashna ho jaega
nāla-e-dil lab se jis din āshnā ho jā.egā
dekh lenā tum ki 'ālam kyā se kyā ho jā.egā
kyā batā.eñ tum ho kaise sirf itnā jaan lo
dekh legā jo tumheñ vo mubtalā ho jā.egā
ik to vo jaate haiñ us par khaa.e jaatā hai ye ġham
dil sā mūnis 'umr bhar kā ab judā ho jā.egā
zikr haq se dil ko tum vāsil ba-haq kar do 'sharaf'
naam le-le kar ḳhudā kā bā-ḳhudā ho jā.egā
nala-e-dil lab se jis din aashna ho jaega
dekh lena tum ki 'alam kya se kya ho jaega
kya bataen tum ho kaise sirf itna jaan lo
dekh lega jo tumhein wo mubtala ho jaega
ek to wo jate hain us par khae jata hai ye gham
dil sa munis 'umr bhar ka ab juda ho jaega
zikr haq se dil ko tum wasil ba-haq kar do 'sharaf'
nam le-le kar KHuda ka ba-KHuda ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.