chum lun KHak-e-qadam dil ka taqaza hai yahi
chum lun KHak-e-qadam dil ka taqaza hai yahi
Shaah Faaiq Shahbazi
MORE BYShaah Faaiq Shahbazi
chuum luuñ ḳhāk-e-qadam dil kā taqāzā hai yahī
yā rasūl-e-'arabī apnī tamannā hai yahī
dil se jaatā hī nahīñ aap ke gesū kā ḳhayāl
hosh jab se hai sambhālā mujhe saudā hai yahī
rū-e-anvar kī tajallī mujhe aa.ī jo nazar
maiñ ne samjhā ki shab-e-māh kā jalvā hai yahī
dekh kar aap ko me.arāj meñ hūreñ bolīñ
ye hai mahbūb-e-ḳhudā 'arsh kā taarā hai yahī
dekh kar rauza-e-aqdas ko ye dil bol uThā
rū-kash-e-bāġh-e-iram jo hai vo rauzā hai yahī
hubb-e-ahamad meñ jo miT jaa.e ahad ko paa.e
haq se milne kā jo sach pūchho vasīla hai yahī
ḳhaak chhānūñgā bayābān-e-'arab kī 'fā.iq'
sar meñ saudā hai yahī dil meñ samāyā hai yahī
chum lun KHak-e-qadam dil ka taqaza hai yahi
ya rasul-e-'arabi apni tamanna hai yahi
dil se jata hi nahin aap ke gesu ka KHayal
hosh jab se hai sambhaala mujhe sauda hai yahi
ru-e-anwar ki tajalli mujhe aai jo nazar
main ne samjha ki shab-e-mah ka jalwa hai yahi
dekh kar aap ko mearaj mein huren bolin
ye hai mahbub-e-KHuda 'arsh ka tara hai yahi
dekh kar rauza-e-aqdas ko ye dil bol uTha
ru-kash-e-bagh-e-iram jo hai wo rauza hai yahi
hubb-e-ahamad mein jo miT jae ahad ko pae
haq se milne ka jo sach puchho wasila hai yahi
KHak chhanunga bayaban-e-'arab ki 'faiq'
sar mein sauda hai yahi dil mein samaya hai yahi
- Book : Armaghan-e-Faaeq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.