dil hai be-KHud sambhaale na sambhle hosh mein mujhse aaya na jae
dil hai be-KHud sambhaale na sambhle hosh mein mujhse aaya na jae
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
dil hai be-ḳhud sambhāle na sambhle hosh meñ mujh se aayā na jaa.e
dekh luuñ gar tirī mast āñkheñ jaam bhar kar uThāyā na jaa.e
laakh dekhe jatan ham ne kar ke baat dil kī samajh meñ na aa.ī
shahr ujḌe to bas jaa.e phir se dil jo ujḌe basāyā na jaa.e
surḳh hoñToñ kā andāz qātil kar na Daale bahāroñ ko bismil
dekh le gar tumhārā tabassum phuul se muskurāyā na jaa.e
apne hālāt kis ko batā.ūñ zindagī hai merī kashmakash meñ
tiir nazroñ kā aisā lagā hai zaḳhm dil kā chhupāyā na jaa.e
aap ko aisā dekhā nazar ne ban ga.e aap nazroñ kā hāsil
aap se dil kuchh aisā lagā hai ab kahīñ dil lagāyā na jaa.e
ai 'fanā' maiñ ne apne lahū se jis kī rāhoñ meñ gulshan khilā.e
is sitam-gar se do phuul le kar merī turbat pe aayā na jaa.e
dil hai be-KHud sambhaale na sambhle hosh mein mujh se aaya na jae
dekh lun gar teri mast aankhen jam bhar kar uThaya na jae
lakh dekhe jatan hum ne kar ke baat dil ki samajh mein na aai
shahr ujDe to bas jae phir se dil jo ujDe basaya na jae
surKH honTon ka andaz qatil kar na Dale bahaaron ko bismil
dekh le gar tumhaara tabassum phul se muskuraya na jae
apne haalat kis ko bataun zindagi hai meri kashmakash mein
tir nazron ka aisa laga hai zaKHm dil ka chhupaya na jae
aap ko aisa dekha nazar ne ban gae aap nazron ka hasil
aap se dil kuchh aisa laga hai ab kahin dil lagaya na jae
ai 'fana' main ne apne lahu se jis ki rahon mein gulshan khilae
is sitam-gar se do phul le kar meri turbat pe aaya na jae
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.