main kuchh nahin magar ye haqiqat zarur hai
maiñ kuchh nahīñ magar ye haqīqat zarūr hai
aap ke dar-e-karam se mohabbat zarūr hai
ye aur baat aa.e na ādāb-e-bandagī
lekin aap ke dar se 'aqīdat zarūr hai
kaasa meñ mujh faqīr ke kuchh bhī nahīñ magar
lekin aap ke 'ishq kī daulat zarūr hai
mujh be-navā ke vāste ye bhī to kam nahīñ
hāthoñ meñ un kā dāman-e-nisbat zarūr hai
maanā navāzishāt ke qābil nahīñ huuñ maiñ
phir bhī kisī kī mujh pe 'ināyat zarūr hai
jalve hazār sāmne aate raheñ to kyā
āñkhoñ pe farz un kī ziyārat zarūr hai
aa.ī na ġham kī dhuup kabhī mujh pe ai 'fanā'
sar pe kisī kā dāman-e-rahmat zarūr hai
main kuchh nahin magar ye haqiqat zarur hai
aap ke dar-e-karam se mohabbat zarur hai
ye aur baat aae na aadab-e-bandagi
lekin aap ke dar se 'aqidat zarur hai
kasa mein mujh faqir ke kuchh bhi nahin magar
lekin aap ke 'ishq ki daulat zarur hai
mujh be-nawa ke waste ye bhi to kam nahin
hathon mein un ka daman-e-nisbat zarur hai
mana nawazishat ke qabil nahin hun main
phir bhi kisi ki mujh pe 'inayat zarur hai
jalwe hazar samne aate rahen to kya
aankhon pe farz un ki ziyarat zarur hai
aai na gham ki dhup kabhi mujh pe ai 'fana'
sar pe kisi ka daman-e-rahmat zarur hai
- Book : Kulliyat-e-Fana Bulandshahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.